Asar-e-Hazir Ki Shab-e-Taar Mein Dekhi Main NeYe Haqeeqat Ke Hai Roshan Sifat-e-Mah-e-Tamam
Zamana Subah-e-Azal Se Raha Hai Mehv-e-SafarMagar Ye Iss Ki Tag-o-Dou Se Ho Saka Na Kuhan
Ae Peer-e-Haram! Rasm-o-Reh-e-Khanqahi ChorMaqsood Samajh Meri Nawa-e-Sehri Ka
Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-RozAhang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman
Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein AnjumLe Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!
Meh-o-Sitara, Misal-e-Shararah Yak Do NafasMai-e-Khudi Ka Abad Tak Suroor Rehta Hai
Jis Ne Suraj Ki Shuaon Ko Giraftar KiyaZindagi Ki Shab-e-Tareek Sehar Kar Na Saka !
Nazar Sipihr Pe Rakhta Hai Sitara ShanasNahin Hai Apni Khudi Ke Maqam Se Aagah
Khudi Ko Jis Ne Falak Se Buland Tar DekhaWohi Hai Mamlikat-e-Subah-o-Sham Se Aagah
Subah-e-Azal Ye Mujh Se Kaha Jibreel NeJo Aqal Ka Ghulam Ho, Woh Dil Na Kar Qabool Gabriel on Creationʹs Early Morn, a piece of useful counsel gave:
Yei Hai Sirr-e-Kaleemi Har Ek Zamane MeinHawaye Dast-o-Shoaib-o-Shabani-e-Shab-o-Roz
Sheikh-e-Maktab Ke Tareeqon Se Kushaad-e-Dil KahanKis Tarah Kibriat Se Roshan Hi Bijli Ka Charagh!
Mile Ga Manzil-e-Maqsood Ka Ussi Ko SuraghAndheri Shab Mein Hai Cheete Ki Ankh Jis Ka Charagh
Woh Bazm-e-Aysh Hai Mehman Ak Nafas Do NafasChamak Rahe Hain Misal-e-Sitara Jis Ke Ayagh
Jis Ghar Ka Magar Charagh Hai TuHai Uss Ka Mazaq Arifana
Momin Pe Garan Hain Ye Shab-o-RozDeen-o-Doulat, Qimar Bazi !
Andheri Raat Mein Ye Chashmkeen Sitaron KiYe Behar, Ye Falak-e-Neelgun Ki Pehnayi!
Safar Uroos-e-Qamar Ka Umaari-e-Shab MeinTulu-e-Mehar-o-Sukoot-e-Sipihr-e-Meenai !
Suraj Ne Diya Apni Shuaon Ko Ye PeghamDunya Hai Ajab Cheez, Kabhi Subah Kabhi Sham
Mashriq Se Ho Bezar, Na Maghrib Se Hazar KarFitrat Ka Ishara Hai Ke Har Shab Ko Sehar Kar !