Kya Baat Hai Ke Sahib-e-Dil Ki Nigah MeinJachti Nahin Hai Saltanat Rome-o-Sham-o-Re
Na Khudi Hai, Na Jahan-e-Sehar-o-Sham Ke DourZindagaani Ki Hareefana Kashakash Se Nijat
Shayar Ki Nawa Ho Ke Mughanni Ka Nafas HoJis Se Chaman Afsurdah Ho Woh Baad-e-Sehar Kya
Manind-e-Sahar Sehan-e-Gulistan Mein Qadam RakhAye Teh-e-Paa Gohar-e-Shabnam Tou Na Tootte
Dekhe Tu Zamane Ko Agar Apni Nazar SeAflaak Munnawar Hon Tere Noor-e-Sehar Se
Afsurda Agar Iss Ki Nawa Se Ho GulistanBehtar Hai Ke Khamosh Rahe Murgh-e-Sehar Khaiz
Anjuman Mein Bhi Mayassar Rahi Khalwat Uss KoShama-e-Mehfil Ki Tarah Sub Se Judda, Sub Ka Rafeeq
Misl-e-Khursheed-e-Sehar Fikr Ki Tabani MeinBaat Mein Sada-o-Azadah, Ma’aani Mein Daqeeq
Meri Nawa Se Greban-e-Lala Chaak HuwaNaseem-e-Subah Chaman Ki Talsh Mein Hai Abhi
Ye Peer-e-Kaleesa Ki Karamat Hai Ke Uss NeBijli Ke Charaghon Se Munawwar Kiye Afkar
Jalta Hai Magar Sham-o-Falasteen Pe Mera DilTadbeer Se Khulta Nahin Ye Uqda-e-Dushwar
Badan Ghulam Ka Souz-e-Amal Se Hai MehroomKe Hai Muroor Ghulamon Ke Roz-o-Shab Pe Haram
Fitrat Ke Nawa Main Pe Ghalib Hai Hunar MandShaam Iss Ki Manind-e-Sehar Sahib-e-Partou
Rumi Badle, Shaami Badle, Badla HindustanTu Bhi Ae Farzand-e-Kuhastan! Apni Khudi Pehchan
Jis Ke Partou Se Munawwar Rahi Teri Shab-e-DoshPhir Bhi Ho Sakta Hai Roshan Woh Charagh-e-Khamosh
Nahin Hangama-e-Paikar Ke Laeik Woh JawanJo Huwa Nala-e-Murghan-e-Sehar Se Madhosh
Be Ashak-e-Sehargahi Taqweem-e-Khudi MushkilYe Lala-e-Paikani Khaushtar Hai Kinar-e-Ju
Har Seene Mein Ek Subah-e-Qayamat Hai NamoodarAfkar Jawanon Ke Huwe Zair-o-Zabar Kya
Kar Sakti Hai Be Maarka Jeene Ki TalaafiAe Peer-e-Haram Teri Manajaat-e-Sehar Kya