sar-gashtagī meñ ālam-e-hastī se yaas haitaskīñ ko de naved ki marne kī aas hai
Agar Manzoor Ho Tujh Ko Khazan Na-Ashna RehnaJahan-e-Rang-o-Bu Se, Pehle Qataa-e-Arzu Kar Le
ḳhamoshī meñ nihāñ ḳhūñ-gashta lākhoñ ārzūeñ haiñcharāġh-e-murdā huuñ maiñ be-zabāñ gor-e-ġharībāñ kā
Main Nawaye Soukhta Dar Guloo, Tu Parida Rang, Ramida BuMein Hikayat-e-Gham-e-Arzoo, Tu Hadees-e-Matam-e-Dilbari
Zameer-E-Lala Mein Roshan Charagh-E-Arzoo Kar DeChaman Ke Zarre Zarre Ko Shaheed-E-Justujoo Kar De
Khawar Ki Umeedon Ka Yehi Khak Hai MarkazIqbal Ke Ashkon Se Yehi Khak Hai Seerab
dil ḳhūñ-shuda-e-kashmakash-e-hasrat-e-dīdārā.īna ba-dast-e-but-e-bad-mast hinā hai
Umeed Kya Hai Siasat Ke Paishwaon SeYe Khakbaz Hain, Rakhte Hain Khak Se Pewand
nā-karda gunāhoñ kī bhī hasrat kī mile daadyā rab agar in karda gunāhoñ kī sazā hai
Khudi Mein Doob, Zamane Se Na-Umeed Na HoKe Iss Ka Zakhm Hai Darparda Ehtimam-e-Rafu
dil-e-hasrat-zada thā mā.ida-e-lazzat-e-dardkaam yāroñ kā ba-qadr-e-lab-o-dandāñ niklā
Teri Dua Hai Ke Ho Teri Arzoo PuriMeri Dua Hai Teri Arzoo Badal Jaye!
na khīñch ai sa.ī-e-dast-e-nā-rasā zulf-e-tamannā kopareshāñ-tar hai mū-e-ḳhāma se tadbīr maanī kī
hasrat-e-nashsha-e-vahshat na ba-sa.i-e-dil haiarz-e-ḳhamiyāza-e-majnūñ hai garebāñ merā
hoñ ḳhamoshī-e-chaman hasrat-e-dīdār 'asad'mizha hai shāna-kash-e-turra-e-guftār hunūz
tab.a hai mushtāq-e-lazzat-hā-e-hasrat kyā karūñaarzū se hai shikast-e-ārzū matlab mujhe
hasrat ai zauq-e-ḳharābī ki vo tāqat na rahīishq-e-pur-arbada kī guuñ tan-e-ranjūr nahīñ