Puch Un Se Jo Chaman Ke Hain Dairina RaazdaarKyunkar Huwi Khazan Tere Gulshan Se Hum Nabard
Kehne Laga Ke Dekh To Kaifiat-e-KhazanAuraq Ho Gye Shajar-e-Zindagi Ke Zard
Khamosh Ho Gye Chamanistan Ke RaazdaarSarmaya-e-Gudaz Thi Jin Ki Nawaye Dard
“Aknon Kra Damagh Ke Pursad Za BaghbanBulbul Che Guft-o-Gul Che Shuneed-o-Saba Che Kard”
Parwane Ko Charagh Hai, Bulbul Ko Phool BasSiddique Ke Liye Hai Khuda Ka Rusool (S.A.W.) Bas
Taghiyur Aa Gya Aesa Mudabbar Mein, Takhiyul MeinHansi Samjhi Gyi Gulshan Mein Ghunchon Ki Jigar Chaki
Hai Shikast Anjam Ghunche Ka Saboo Gulzar MeinSabza-o-Gul Bhi Hain Majboor-e-Namoo Gulzar Mein
Nagma-e-Bulbul Ho Ya Awaz-e-Khamosh-e-ZameerHai Issi Zanjeer-e-Alamgeer Mein Har She Aseer
Garche Mere Bagh Mein Shabnam Ki Shadabi NahinAnkh Meri Mayadaar-e-Ashak-e-Unnabi Nahin
Aik Din Iqbal Ne Pucha Kaleem-e-Toor SeAe Ke Tere Naqsh-e-Pa Se Wadi Seena-e-Chaman
Mumkin Nahin Iss Bagh Mein Kosish Ho Bar Awar TeriFarsooda Hai Phanda Tera, Zeerak Hai Murgh-e-Taiz Par
Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisan MeinRahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-e-Rizwan Mein
Suna Hai Koi Shehzadi Hai Hakim Iss Gulistan KiKe Jis Ke Naqsh-e-Pa Se Phool Hon Paida Byaban Mein
Kali Boli, Sareer Ara Humari Hai Woh ShehzadiDarkhashan Jis Ki Thoukar Se Hon Pathar Bhi Nageen Ban Kar
Kahan Iqbal Tu Ne Aa Banaya Ashiyan ApnaNawa Iss Bagh Mein Bulbul Ko Hai Saman-e-Ruswai
Kali Roz-e-Nafas Se Bhi Wahan Gul Ho Nahin SaktiJahan Har Shay Ho Mehroom-e-Taqazaye Khud Afzai
Bunyad Laraz Jaye Jo Deewar-e-Chaman KiZahir Hai Ke Anjaam-e-Gulistan Ka Hai Aghaz
Dali Gyi Jo Fasal-e-Khazan Mein Shajar Se TootMumkin Nahin Hari Ho Sahab-e-Bahar Se
Hai La-Zawal Ehd-e-Khazan Uss Ke WasteKuch Wasta Naahin Hai Usse Barg-o-Baar Se
Hai Tere Gulistan Mein Bhi Fasal-e-Khazan Ka DourKhali Hai Jaib-e-Gul Zr-e-Kamil Ayaar Se