Gulshan-e-Dehr Mein Agar Jooye Mai-e-Sukhan Na HoPhool Na Ho, Kali Na Ho, Sabza Na Ho, Chaman Na Ho
Chehchate Hain Prinde Pa Ke Pegham-e-HayatBandhte Hain Phool Bhi Gulshan Mein Ahram-e-Hayat
Main Bulbul-e-Nalan Hun Ek Ujre Gulistan KaTaseer Ka Saa’il Hun, Mauhtaj Ko, Data De!
Ya Shalamaar Mein Ek Barg-e-Zard Kehta ThaGya Woh Mousam-e-Gul Jis Ka Raazdar Hun Main
Na Paimaal Karain Mujh Ko Zaeeran-e-ChamanInhi Ki Shakh Nasheman Ki Yadgar Hun Main
Zara Se Patte Ne Betaab Kar Diya Dil KoChaman Mein Aa Ke Sarapa Gham-e-Bahar Hun Main
Khazan Main Mujh Ko Rulati Hai Yad-e-Fasl-e-BaharKhushi Ho Eid Ki Kyunkar Ke Sougwar Hun Main
Ye Kali Bhi Iss Gulistan-e-Khazan Manzar Mein ThiAesi Chingari Bhi Ya Rab, Apni Khakstar Mein Thi
Ae Taro Na Pucho Chamanistan-e-Jahan KiGulshan Nahin, Ek Basti Hai Woh Aah-o-Faghan Ki
Ati Hai Saba Waan Se Palat Jane Ki KhatirBechari Kali Khilti Hai Murjhane Ki Khatir
Kya Tum Se Kahun Kya Chaman Afroz Kali HaiNanha Sa Koi Shaola Besouz Kali Hai
Gul-e-Nala-e-Bulbul Ki Sada Sun Nahin SaktaDaman Se Mere Motiyon Ko Chun Nahin Sakta
Hain Murgh-e-Nawa Raiz Giraftar, Ghazab HaiUgte Hai Teh-e-Saya-e-Gul Khar, Ghazab Hai
Rakha Mujhe Chaman Awarah Misl-e-Mouj-e-NaseemAtta Falak Ne Kiya Tujh Ko Ashiyan, Phir Kya
Baheech Go Na Dareen Gulistan Qarare NeestTu Gar Bahr Shudi, Ma Khazan Shadem, Cha Shad
Ghafil! Apne Ashiyan Ko Aa Ke Phir Abad KarNaghma Zan Hai Toor-e-Ma’ani Par Kaleem-e-Nukta Been