Itne Mein Woh Rafeeq-e-Nabuwwat Bhi Aa GyaJis Se Binaye Ishq-o-Mohabbat Hai Ustawar
rahe hai yuuñ gah-o-be-gah ki kū-e-dost ko abagar na kahiye ki dushman kā ghar hai kyā kahiye
Mera Aysh Gham, Mera Shehad Samm, Meri Bood Hum Nafas-e-AdamTera Dil Haram, Girv-e-Ajam, Tera Deen Khareeda-e-Kafiri
dost ġham-ḳhvārī meñ merī sa.ī farmāveñge kyāzaḳhm ke bharte talak nāḳhun na baḌh jāveñge kyā
Mushkil Nahin Yaraan-e-Chaman! Maarka-e-BaazPursouz Agar Ho Nafs-e-Sina-e-Durraj
ek ek qatre kā mujhe denā paḌā hisābḳhūn-e-jigar vadī.at-e-mizhgān-e-yār thā
Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah NaramRazm-e-Haq-o-Batil Ho To Foulad Hai Momin
tā.ūs-e-dar-rikāb hai har zarra aah kāyā-rab nafas ġhubār hai kis jalva-gāh kā
Anjuman Mein Bhi Mayassar Rahi Khalwat Uss KoShama-e-Mehfil Ki Tarah Sub Se Judda, Sub Ka Rafeeq
mujhe junūñ nahīñ 'ġhālib' vale ba-qaul-e-huzūrfirāq-e-yār meñ taskīn ho to kyūñkar ho
Tere Buland Munasib Ki Khair Ho, Ya Rab!!Ke In Ke Waste Tu Ne Kiya Khudi Ko Halak
khulegā kis tarah mazmūñ mire maktūb kā yā-rabqasam khaa.ī hai us kāfir ne kāġhaz ke jalāne kī
Teri Hareef Hai Ya Rab Siasat-e-AfrangMagar Hain Iss Ke Pujari Faqt Ameer-o-Raees
fart-e-be-ḳhvābī se haiñ shab-hā-e-hijr-e-yār meñjuuñ zabān-e-sham.a dāġh-e-garmi-e-afsāna ham