Teerah-o-Taar Hai Jahan Gardish-e-Aftab SeTaba-e-Zamana Taza Kar Jalwa'ay Behijab Se
Haya Nahin Hai Zamane Ki Ankh Mein BaqiKhuda Kare Ke Jawani Teri Rahe Be-Dagh
Jahan Chup Gya Parda’ay Rang MeinLahoo Ki Hai Gardish Rag-E-Sang Mein
Zamane Ke Andaz Badle GyeNaya Raag Hai, Saaz Badle Gye
جو تھا نہیں ہے ، جو ہے نہ ہو گا ، یہی ہے اک حرف محرمانہقریب تر ہے نمود جس کی ، اسی کا مشتاق ہے زمانہ
Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-MehrmanaQareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana
Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha HaiJise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana
Samjhe Ga Zamana Teri Ankhon Ke IshareDekhain Ge Tujhe Door Se Gardoon Ke Sitare
Tameer-e-Khudi Kar, Asar-e-Aah-e-Rasa Dekh!Khurshid-e-Jahan Taab Ki Zou Tere Sharar Mein
Abad Hai Ek Taza Jahan Tere Hunar MeinJachte Nahin Bakhshe Huwe Firdous Nazar Mein
Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida KarNaya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar
Raaz Hai, Raaz Hai Taqdeer-e-Jahan-e-Tag-o-TaazJosh-e-Kirdar Se Khl Jate Hain Taqdeer Ke Raaz
Zamane Mein Jhoote Hai Uss Ka NageenJo Apni Khudi Ko Parakhta Nahin
Yehi Deen-e-Mohkam, Yehi Fateh-e-BaabKe Dunya Mein Touheed Ho Be-Hijab