Jahan Beeni Meri Fitrat Hai LekinKisi Jamshaid Ka Saghar Nahin Main
Na Khudbeen, Ne Khuda-Been, Ne Jahan BeenYehi Shehkar Hai Tere Hunar Ka!
Zamane Ki Ye Gardish JavidanaHaqiqat Aik Tu, Baqi Fasana
Kisi Ne Dosh Dekha Hai Na FardaFaqt Amroz Hai Tera Zamana
Tere Shab-O-Roz Ki Aur Haqiqat Hai KyaAik Zamane Ki Ro Jis Mein Na Din Hai Na Raat
Aani –O-Fani Tamam Mojazaat Haye GunarKaar-E-Jahan Be-Sabaat, Kaar-E-Jahan Be-Sabaat!
Tund-O-Subak Sair Hai Gharcha Zamane Ki RoIshq Khud Ek Sayl Hai, Sayl Ko Leta Hai Thaam
Ishq Ki Taqweem Mein Asar-E-Rawan Ke SawaAur Zamane Bhi Hain Jin Ka Nahin Koi Naam
Iss Ke Zamane Ajeeb, Iss Ke Fasane GhareebEhad-E-Kuhan Ko Diya Iss Ne Payam-E-Raheel
Momin Ke Jahan Ki Had Nahin HaiMomin Ka Maqam Har Kahin Hai
Tu Qadir-o-Adil Hai Magar Tere Jahan MeinHain Talakh Bohat Banda’ay Mazdoor Ke Auqat
Kab Doobe Ga Sarmaya Prasti Ka Safina?Dunya Hai Teri Muntazir-e-Roz-e-Makafat !
Utho! Meri Dunya Ke Ghareebo Ko Jaga DoKakh-e-Umra Ke Dar-o-Diwar Hila Do
Sultani Jamhoor Ka Ata Hai ZamanaJo Naqsh-e-Kuhan Tum Ko Nazar Aye, Mita Do