Sanam Kadah Hai Jahan Aur Mard-e-Haq Hai KhalilYe Nukta Woh Hai Ke Poshida LA ILAHA Mein Hai
ai partav-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb idhar bhīsaa.e kī tarah ham pe ajab vaqt paḌā hai
Woh Jahan Hai Tera Jis Ko Tu Kare PaidaYe Sang-o-Khisht Nahin, Jo Teri Nigah Mein Hai
begānagī-e-ḳhalq se be-dil na ho 'ġhālib'koī nahīñ terā to mirī jaan ḳhudā hai
Talash Uss Ki Fazaon Mein Kar Naseeb ApnaJahan-e-Taza Meri Aah-e-Subahgah Mein Hai
apnī galī meñ mujh ko na kar dafn bād-e-qatlmere pate se ḳhalq ko kyuuñ terā ghar mile
Khareed Sakte Hain Dunya Mein Ishrat-e-ParwaizKhuda Ki Dayn Hai Sarmaya-e-Gham-e-Farhad
ġhalatī-hā-e-mazāmīñ mat pūchhlog naale ko rasā bāñdhte haiñ
Teri Tabiyat Hai Aur, Tera Zamana Hai AurTere Muwafiq Nahin Khanqahi Silsala
'ġhālib' bhī gar na ho to kuchh aisā zarar nahīñduniyā ho yā rab aur mirā bādshāh ho
Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh!Ek Jahan Aur Bhi Hai Jis Mein Na Farda Hai Na Dosh
ye kaun kahve hai ābād kar hameñ lekinkabhī zamāna murād-e-dil-e-ḳharāb to de
Tha Jahan Madrasa-e-Sheri-o-ShehanshahiAaj Un Khanqahon Mein Hai Faqt Rubahi
fikr-e-duniyā meñ sar khapātā huuñmaiñ kahāñ aur ye vabāl kahāñ
Hai Yaad Mujhe Nukta-e-Salman-e-Khush AhangDunya Nahin Mardan-e-Jafa Kash Ke Liye Tang
ham ne vahshat-kada-e-bazm-e-jahāñ meñ juuñ sham.asho.ala-e-ishq ko apnā sar-o-sāmāñ samjhā
Tabarrak Hai Mera Pairhan-e-ChaakNahin Ahl-e-Junoon Ka Ye Zamana
nazar lage na kahīñ us ke dast-o-bāzū koye log kyuuñ mire zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
Makani Hun Ke Azad-e-Makan HunJahan Been Hun Ke Khud Sara Jahan Hun
zamāna saḳht kam-āzār hai ba-jān-e-asadvagarna ham to tavaqqo.a ziyāda rakhte haiñ
Khudi Ke Zor Se Dunya Pe Chha JaMaqam-e-Rang-o-Boo Ka Raaz Pa Ja
tan-e-ba-band-e-havas dar nadāda rakhte haiñdil-e-z-kār-e-jahāñ ūftāda rakhte haiñ
Teri Dunya Jahan-e-Murg-o-MaahiMeri Dunya Fughan-e-Subahgahi
shāhid-e-hastī-e-mutlaq kī kamar hai aalamlog kahte haiñ ki hai par hameñ manzūr nahīñ
Teri Dunya Mein Main Mehkoom-o-MajboorMeri Dunya Mein Teri Padshahi!
saaf durdi-kash-e-paimāna-e-jam haiñ ham logvaa.e vo baada ki afsharda-e-añgūr nahīñ