Jahan-E-Soot-O-Sada Mein Sama Nahin SaktiLatifa’ay Azali Hai Afghan-E-Ching-O-Rubab
zamāna ahd meñ us ke hai mahv-e-ārā.ishbaneñge aur sitāre ab āsmāñ ke liye
Khush Aa Gyi Hai Jahan Ko Qalandari MeriWagarna Shair Mera Kya Hai, Shayari Kya Hai!
nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na banekyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke LiyeJahan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye
huuñ sarāpā sāz-e-āhañg-e-shikāyat kuchh na pūchhhai yahī behtar ki logoñ meñ na chheḌe tū mujhe
Dunya-e-Doon Ki Kab Tak GhulamiYa Raahbi Kar Ya Padshahi
jahāñ miT jaa.e sa.ī-e-dīd ḳhizrābād-e-āsā.ishba-jeb-e-har-nigah pinhāñ hai hāsil rahnumā.ī kā
Agar Hota Woh Majzoob*-e-Farangi Iss Zamane MeinTo Iqbal Uss Ko Samjhata Maqam-e-Kibriya Kya Hai
kyuuñ na duniyā ko ho ḳhushī 'ġhālib'shāh-e-dīñ-dār ne shifā paa.ī
Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka DawamWaye Tamana-e-Kham, Waye Tamana-e-Kham !
ho rahā hai jahān meñ andherzulf kī phir sirishta-dārī hai
Barh Ke Khayber Se Hai Ye Maarka-e-Deen-o-WatanIss Zamane Mein Koi Haidar-e-Karar Bhi Hai?
shahādat thī mirī qismat meñ jo dī thī ye ḳhū mujh kojahāñ talvār ko dekhā jhukā detā thā gardan ko
Yehi Zamana-e-Hazir Ki Kainat Hai KyaDamagh Roshan-o-Dil Teerah-o-Nigah Bebaak
qayāmat hai ki sun lailā kā dasht-e-qais meñ aanāta.ajjub se vo bolā yuuñ bhī hotā hai zamāne meñ
Tu Be-Basar Ho To Ye Mana’ay Nigah Bhi HaiWagarna Aag Hai Momin, Jahan Khs-o-Khashak
rahiye ab aisī jagah chal kar jahāñ koī na hoham-suḳhan koī na ho aur ham-zabāñ koī na ho
Zamana Aqal Ko Samjha Huwa Hai Mashal-e-RahKise Khabar Ke Junoon Bhi Hai Sahib-e-Idraak
jab us ke dekhne ke liye aa.eñ bādshāhlogoñ meñ kyuuñ numūd na ho lāla-zār kī
oon Jahan Tamam Hai Meeras Mard-e-Momin KiMere Kalam Pe Hujjat Hai Nukta-e-Loulaak
yuuñ hī gar rotā rahā 'ġhālib' to ai ahl-e-jahāñdekhnā in bastiyoñ ko tum ki vīrāñ ho ga.iiñ
Ya Sanjar-o-Tughral Ka Aaeen-e-JahangeeriYa Mard-e-Qalandar Ke Andaz-e-Mulookana!
dikhā.ūñgā tamāshā dī agar fursat zamāne nemirā har dāġh-e-dil ik tuḳhm hai sarv-e-charāġhāñ kā