Teri Khudai Se Hai Mere Junoon Ko GillaApne Liye La-Makan, Mere Liye Char Soo!
sunte haiñ jo bahisht kī tārīf sab durustlekin ḳhudā kare vo tirā jalva-gāh ho
Hai Magar Iss Naqsh Mein Rang-E-Sabaat-E-DawamJis Ko Kiya Ho Kisi Mard-E-Khuda Ne Tamam
'ġhālib' bhī gar na ho to kuchh aisā zarar nahīñduniyā ho yā rab aur mirā bādshāh ho
Ishq Dam-E-Jibreel, Ishq Dam-E-Mustafa (S.A.W.).Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam
yaad hai shādī meñ bhī hañgāma-e-yā-rab mujhesub.ha-e-zāhid huā hai ḳhanda zer-e-lab mujhe
Pekar-E-Noori Ko Hai Sajda Meyasir To KyaIss Ko Meyasir Nahin Soz-O-Gudaaz-E-Sujood
yā rab is āshuftagī kī daad kis se chāhiyerashk āsā.ish pe hai zindāniyoñ kī ab mujhe
Tera Jalal-O-Jamal, Mard-E-Khuda Ki DaleelWoh Bhi Jaleel-O-Jameel, Tu Bhi Jaleel-O-Jameel
vo aa.e ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat haikabhī ham un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar BandeJinhain Tu Ne Bakhsha Hai Zuaq-e-Khudai
ba-rañg-e-sāya hameñ bandagī meñ hai taslīmki dāġh-e-dil ba-jabīn-e-kushāda rakhte haiñ
Mashriq Ke Khudawand Saifedan-e-FarangiMaghrib Ke Khudawand Darakhshandah Filzaat
mai vo kyuuñ bahut piite bazm-e-ġhair meñ yā rabaaj hī huā manzūr un ko imtihāñ apnā
Tu Qadir-o-Adil Hai Magar Tere Jahan MeinHain Talakh Bohat Banda’ay Mazdoor Ke Auqat
ghiste ghiste miT jaatā aap ne abas badlānañg-e-sajda se mere sañg-e-āstāñ apnā