Ta Dil-e-Sahibd Le Na Mad Ba DardHaich Qoume Ra Khda Ruswa Na Kard
Gar Khalwat Mayassir Ho To Puch Allah SeQissa-e-Adam Ko Rangeen Kar Gya Kis Ka Lahoo!
Main Khatakta Hun Dil-e-Yazdan Mein Kante Ki TarahTu Faqat Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo !
Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh KoSakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar
Sifat-e-Jangah Mein Mardan-e-Khuda Ki TakbeerJosh-e-Kirdar Se Banti Hai Khuda Ki Awaz
Ek Muflas-e-Khud-Dar Ye Kehta Tha Khuda SeMain Kar Nahin Sakta Gila-e-Dard-e-Faqeeri
Agar Mehsoor Hain Mardan-e-TatarNahin Allah Ki Taqdeer Mehsoor
Woh Hind Mein Sarmaya-e-Millat Ka NeghebanAllah Ne Barwaqt Kiya Jis Ko Khabardar
‘Qum Bi-Iznillah’ Keh Sakte The Jo, Rukhsat HuweKhanqahon Mein Majawar Reh Gye Ya Gorkan!
Kehta Tha Azazeel Khudawand-e-Jahan SePar Kala-e-Atish Huwi Adam Ki Kaf-e-Khaak!