Ho Teri Khak Ke Har Zarre Se Tameer-e-HaramDil Ko Baigana’ay Andaz-e-Kalisayi Kar
Teh-e-Daam Bhi Ghazal Ashna Rahe Taaeeran-e-Chaman To KyaJo Faghan Dilon Mein Tarap Rahi Thi, Nawaye Ziar-e-Labi Rahi
Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka Nahin PabandBahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah
Mushkil Nahin Yaraan-e-Chaman! Maarka-e-BaazPursouz Agar Ho Nafs-e-Sina-e-Durraj
Hai Falsafa Mere Aab-o-Gil MeinPoshida Hai Raisha Haye Dil Mein
Mumkin Hai Ke Tu Jis Ko Samajhta Hai BaharanAuron Ki Nighahonmein Woh Mousam Ho Khazan Ka
Taseer Hai Ye Mere Nafas Ki Ke Khazan MeinMurghan-e-Sehar Khawan Meri Sohbat Mein Hain Khoursand
Zamana Aik, Hayat Aik, Kainat Bhi AikDaleel-e-Kam-Nazari, Qissa-e-Jadeed-o-Qadeem
Woh Ilm, Kam Basri Jis Mein Ham-Kinar NahinTajaliat-e-Kaleem-o-Mushahidat-e-Hakeem!
Hum Poochte Hain Sheikh-e-Kalisa Nawaz SeMashriq Mein Jang Shar Hai To Maghrib Mein Bhi Hai Shar
Iss Ki Barhti Huwi Bebaki-o-Betabi SeTaza Har Ehad Mein Hai Qissa-e-Firon-o-Kaleem
Peeran-e-Kalisa Hon Ke Sheikhan-e-Haram HonNe Jiddat-e-Guftar Hai, Ne Jiddat-e-Kirdar
Uss Ke Nafas-e-Garam Ki Taseer Hai AesiHo Jati Hai Khaak-e-Chamanistan Sharar Amaiz
Shaheen Ki Ada Hoti Hai Bulbul Mein NamoodarKis Darja Badal Jate Hain Murghan-e-Sahar Khaiz!
Un Shaheedon Ki Diyat Ahle-e-Kalisa Se Na MangQadar-o-Qeemat Mein Hai Khoon Jin Ka Haram Se Barh Kar
Qoumon Ki Hayat In Ke Takhiyyul Pe Hai MouqoofYe Zauq Sikhata Hai Adab Murgh-e-Chaman Ko
Yei Hai Sirr-e-Kaleemi Har Ek Zamane MeinHawaye Dast-o-Shoaib-o-Shabani-e-Shab-o-Roz
Kiya Hai Tujh Ko Kitabon Ne Kaur Zauq ItnaSaba Se Bhi Na Mila Tujh Ko Booye Gul Ka Suragh!
Aur Ye Ahle-e-Kalisa Ka Nizam-e-TaleemAik Sazish Hai Faqt Deen-o-Murawat Ke Khilaf
Shakh-e-Gul Par Chehak Wa-LekinKar Apni Khudi Mein Ashiyana!