fahm zanjīrī-e-be-rabtī-e-dil hai yā-rabkis zabāñ meñ hai laqab ḳhvāb-e-pareshāñ merā
taġhāful-dost huuñ merā dimāġh-e-ajz aalī haiagar pahlū-tahī kiije to jā merī bhī ḳhālī hai
kahūñ kyā dil kī kyā hālat hai hijr-e-yār meñ ġhālibki betābī se har-yak tār-e-bistar ḳhār-e-bistar hai
tū dost kasū kā bhī sitamgar na huā thāauroñ pe hai vo zulm ki mujh par na huā thā
jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār kā aalammaiñ mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā
maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huuñya.anī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā
thā gurezāñ mizha-e-yār se dil tā dam-e-margdaf-e-paikān-e-qazā is qadar āsāñ samjhā
kyuuñ huā thā taraf-e-ābla-e-pā yā-rabjaada hai vā-shudan-e-pechish-e-tūmār hunūz
ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotāagar aur jiite rahte yahī intizār hotā
ye kahāñ kī dostī hai ki bane haiñ dost nāsehkoī chārasāz hotā koī ġham-gusār hotā