Meri Mushkil, Masti-o-Shor-o-Suroor-o-Dard-o-DaghTeri Mushkil, Mai Se Hai Saghir Ke Mai-e-Saghir Se Hai
Tera Ye Haal Ke Pamaal-o-Dardmand Hai TuMeri Ye Shan Ke Darya Bhi Hai Mera Mohtaj
Raaz Iss Ke Tap-e-Gham Ka Yehi Nukta-e-ShauqAtisheen, Lazzat-e-Takhleeq Se Hai Iss Ka Wujood
Mein Bhi Mazloomi-e-Niswan Se Hun Gham-Naak BohatNahin Mumkin Magar Iss Uqda-e-Mushkil Ki Kushood!
Khawar Ki Umeedon Ka Yehi Khak Hai MarkazIqbal Ke Ashkon Se Yehi Khak Hai Seerab
Aah, Woh Kafir Bechara Ke Hain Uss Ke SanamAsr-e-Rafta Ke Wohi Toote Huwe Laat-o-Manaat!
Mujhe Ko To Yehi Gham Hai Ke Iss Dour Ke BehzadHko Baithe Hain Mashriq Ka Suroor-e-Azali Bhi
Fitrat Ko Dikhaya Bhi Hai, Dekha Bhi Hai Tu NeAaeena-e-Fitrat Mein Dikha Apni Khudi Bhi!
Jis Taseer Se Adam Ho Gham-o-Khof Se PakAur Paida Ho Ayazi Se Maqam-e-Mehmood
Tareeq-e-Ahl-e-Dunya Hai Gila Shikwah Zamane KaNahin Hai Zakham Kha Kar Aah Karna Shaan-e-Darveshi
Woh Kal Ke Gham-o-Ayesh Pe Kuch Haq Nahin RakhtaJo Aaj Khud Afroz-o-Jigar Souz Nahin Hai
Farangiyon Ko Atta Khak-e-Suriya Ne KiyaNabi Iffat-o-Gham Khwari-o-Kam Azari
Khudi Mein Doob, Zamane Se Na-Umeed Na HoKe Iss Ka Zakhm Hai Darparda Ehtimam-e-Rafu