jo guzarte haiñ 'dāġh' par sadmeaap banda-navāz kyā jāneñ
Khuda Ke Pak Bandon Ko Hukoomat Mein, Ghulami MeinZirah Koi Agar Mehfooz Rakhti Hai To Istagna
kāñToñ kī zabāñ suukh ga.ī pyaas se yā rabik ābla-pā vādi-e-pur-ḳhār meñ aave
kyuuñ kufr hai dīdār-e-sanam hazrat-e-vā.izallāh dikhātā hai bashar dekh rahe haiñ
Huzoor-e-Haq Mein Israfeel Ne Meri Shikayat KiYe Banda Waqt Se Pehle Qayamat Kar Na De Barpa
kis kā surāġh jalva hai hairat ko ai ḳhudāā.īna farsh-e-shash-jahat-e-intizār hai
thā mirā muñh na qābil-e-labbaikka.aba mujh ko dikhā diyā tū ne
Ae Halqa’ay Darveshan! Who Mard-e-Khuda KaisaHo Jis Ke Gireeban Mein Hangama’ay Rastakhaiz
'dāġh' ko kaun dene vaalā thājo diyā ai ḳhudā diyā tū ne
Karti Hai Mulookiat Asaar-e-Junoon PaidaAllah Ke Nashtar Hain Taimoor Ho Ya Changaiz
yuuñ hī dukh kisī ko denā nahīñ ḳhuub varna kahtāki mire adū ko yā rab mile merī zindagānī
phire but-kade se to ai ahl-e-ka.abaphir aa kar tumhāre qadam dekhte haiñ
Ae Muslaman ! Apne Dil Se Puch, Mullah Se Na PuchHo Gya Allah Ke Bandon Se Kyun Khali Haram
kaabe meñ jā rahā to na do ta.ana kyā kaheñbhūlā huuñ haqq-e-sohbat-e-ahl-e-kunisht ko
bajā.e shikva bhī detā huuñ maiñ duā us komirī zabāñ se karūñ kyā yahī nikaltī hai