ḳhudā ke āshiq to haiñ hazāroñ banoñ meñ phirte haiñ maare maaremaiñ us kā banda banūñgā jis ko ḳhudā ke bandoñ se pyaar hogā
'ġhālib' ḳhudā kare ki savār-e-samand-e-nāzdekhūñ alī bahādur-e-ālī-guhar ko maiñ
ḳhātir se yā lihāz se maiñ maan to gayājhūTī qasam se aap kā īmān to gayā
aap kyā pūchhte haiñ merā mizājshukr allāh kā hai martā huuñ
Garche Hai Meri Justujoo Dair-e-Haram Ki Naqsh BandMeri Faghan Se Rustkhaiz Kaaba-O-Somanat Mein
harīf-e-matlab-e-mushkil nahīñ fusūn-e-niyāzduā qubūl ho yā rab ki umr-e-ḳhizr darāz
dekhā hai but-kade meñ jo ai shaiḳh kuchh na pūchhīmān kī to ye hai ki īmān to gayā
butoñ par rahtī hai maa.il hameshatabī.at ko ḳhudāyā kyā huā hai
Asar Kare Na Kare, Sun To Le Meri FaryadNahin Hai Dad Ka Talib Ye Banda’ay Azad
na dekheñ rū-e-yak-dil sard ġhair-az sham-e-kafūrīḳhudāyā is qadar bazm-e-'asad' garm-e-tamāshā ho
tū ḳhudā to nahīñ ai nāseh-e-nādāñ merākyā ḳhatā kī jo kahā maiñ ne na maanā terā
balā meñ phañstā hai dil muft jaan jaatī haiḳhudā kisī ko na le jaa.e us galī kī taraf
Meri Jafa Talbi Ko Duaen Deta HaiWoh Dasht-e-Sada, Woh Tera Jahan-e-Bebunyad
bak rahā huuñ junūñ meñ kyā kyā kuchhkuchh na samjhe ḳhudā kare koī
ka.aba o dair meñ yā chashm-o-dil-e-āshiq meñinhīñ do-chār gharoñ meñ hai Thikānā terā
Mataa-e-Deen-o-Danish Lut Gyi Allah Walon KiYe Kis Kafir Ada Ka Ghamzada’ay Khoonraiz Hai Saqi
ab jafā se bhī haiñ mahrūm ham allāh allāhis qadar dushman-e-arbāb-e-vafā ho jaanā
intihā ishq kī ḳhudā jaanedam-e-āḳhir ko ibtidā kahiye
Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe HainNa Gila Hai Doston Ka, Na Shikayat-e-Zamana
ho liye kyuuñ nāma-bar ke saath saathyā rab apne ḳhat ko ham pahuñchā.eñ kyā