Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se PehleKhuda Bande Se Khud Puche, Bata Teri Raza Kya Hai
dekhiye laatī hai us shoḳh kī naḳhvat kyā rañgus kī har baat pe ham nām-e-ḳhudā kahte haiñ
Naumeed Na Ho In Se Ae Rahbar-e-FarzanaKamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi
kaaba kis muñh se jāoge 'ġhālib'sharm tum ko magar nahīñ aatī
Ilm Ki Had Se Pare, Banda-e-Momin Ke LiyeLazzat-e-Shauq Bhi Hai, Naimat-e-Didar Bhi Hai
kyūñkar us but se rakhūñ jaan aziizkyā nahīñ hai mujhe īmān aziiz
Mai-e-Yaqeen Se Zameer-e-Hayat Hai PursouzNaseeb-e-Madrasa Ya Rab Ye Aab-e-Atish Naak
masjid ke zer-e-sāya ḳharābāt chāhiyebhauñ paas aañkh qibla-e-hājāt chāhiye
Ya Aqal Ki Roobahi Ya Ishq-e-YadullahiYa Heela-e-Afrangi Ya Hamla-e-Tarkana!
maiñ aur hazz-e-vasl ḳhudā-sāz baat haijaañ nazr denī bhuul gayā iztirāb meñ
Ya Shara-e-Musalmani Ya Dair Ki DarbaniYa Naara-e-Mastana , Kaaba Ho Ke Butkhana!
mujh ko dayār-e-ġhair meñ maarā vatan se duurrakh lī mire ḳhudā ne mirī bekasī kī sharm