Nida Masjid Ki Dewaron Se AyiFarangi But-kade Mein Kho Gya Kon?
Aah ! Ye Qoum-E-Najeeb-O-Charab Dast-O-Tar DamaghHai Kahan Roz-E-Makafaat Ae Khuda\xe2\x80\x99ay Deer Geer?
Tamam Arif-O-Ami Khudi Se BeganaKoi Bataye Ye Masjid Hai Ya K Maikhana
Naseeb-E-Khitta Ho Ya Rab Woh Band’ay DarveshKe Jis Ke Faqr Mein Andaz Hon Kaleemana
Badast-E-Ma Na Samarqand Wa Ne Bukhara AeestDua Bagoz Faqeeran Ba Turk-E-Sheerazi
Hareef Apna Samajh Rahe Hain Mujhe Khudayan-E-KhanqahiUnhain Ye Dar Hai Ke Mere Nalon Se Shiq Na Ho Sang-E-Ashiyana
Khabar Nahin Kya Hai Naam Iss Ka, Khuda Farebi Ya Khud FarebiAmal Se Farigh Huwa Musalman Bana Ke Taqdeer Ka Bahana
Taqdeer Hai Ek Naam Makafat-E-Amal KaDete Hain Ye Pegham Khudayan-E-Hamala
Tha Ye Allah Ka Farman K Shikwa-E-ParwaizDo Qalander Ko K Hain Iss Mein Mulukana Sifaat
Ghairat-E-Faqr Magar Kar Na Saki Iss Ko QaboolJab Kaha Uss Ne Ye Hai Meri Khudai Ki Zakaat !