Ajab Waiz Ki Deen-Dari Hai Ya Rab!Adawat Hai Isse Sare Jahan Se
Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale HainYe Ashiq Kon Si Basti Ke Ya-Rab Rehne Wale Hain
Agar Kuch Ashana Hota Mazaq-e-Jaba-Sayi SeTo Sang-e-Astan-e-Kaaba Ja Milta Jabeenon Mein
Chupaya Husn Ko Apne Kaleem-Ullah Se Jis NeWohi Naz Afreen Hai Jalwa Pera Naaz Neenon Mein
Khuda Se Husn Ne Ek Roz Ye Sawal KiyaJahan Mein Kyun Na Mujhe Tu Ne La-Zawal Kiya
Soorat-e-Shama Noor Ki Milti Nahin Qaba UseJis Ko Khuda Na Dehr Mein Girya-e-Jaan Gudaz De
Tujh Ko Khabar Nahin Hai Kya! Bazm-e-Kuhan Badal GyiAb Na Khuda Ke Waste In Ko Mai-e-Majaz De
Ayn Shugal-e-Mai Mein Preshani Teri Sajda RaizKuch Tere Maslik Mein Rang-e-Mashrab-e-Meena Bhi Hai
Aah! Moujood Bhi Woh Husn Kahin Hai Ke NahinKhatam-e-Dehr Mein Ya Rab Woh Nageen Hai Ke Nahin
Shikasta Geet Mein Chashmon Ke Dilbari Hai KamalDua-e-Tiflik-e-Guftar Azma Ki Misal
Zaeeran-e-Kaaba Se Iqbal Ye Puche KoiKya Haram Ka Tohfa Zamzam Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Sukoon Na-Ashna Rehna Isse Saman-e-Hasti HaiTarap Kis Dil Ki Ya Rab Chup Ke Aa Baithi Hai Pare Mein
Diyar-e-Maghrib Ke Rehne Walo ! Khuda Ki Basti Dukan Nahin HaiKhara Jise Tum Samajh Rahe Ho, Woh Ab Zr-e-Kam Ayaar Ho Ga
Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare MareMein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga
Huwi Hai Tarbiat Aghosh-e-Bait Ullah Mein TeriDil Shourida Hai Lekin Sanam Khane Ka Soudai
Woh Mast-e-Naaz Jo Gulshan Mein Ja Niklti HaiKali Kali Ki Zuban Se Dua Niklti Hai
Dunya Ke Butkadon Mein Pehla Woh Ghar Khuda KaHum Uss Ke Pasban Hain, Woh Pasban Humara
In Taza Khudaon Mein Bara Sub Se Watan HaiJo Pairhan Iss Ka Hai, Woh Mazhab Ka Kafan Hai
Aqwam Mein Makhlooq-e-Khuda Batti Hai Iss SeQoumiat-e-Islam Ki Jar Katti Hai Iss Se
Hum Safar Mere Shikar-e-Dashna-e-Rehzan HuweBach Gye Jo, Ho Ke Be-Dil Sooye Bait Ullah Phire