har qadam ke saath manzil lekin is kā kyā ilaajishq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ
tū ek zill-e-hastī phir kaisī ḳhud-parastīsaaya kī parvarish hai dāmān-e-be-ḳhudī meñ
ḳhudī meñ Dūbte haiñ phir ubhar bhī aate haiñmagar ye hausla-e-mard-e-hech-kāra nahīñ
parvāz-e-yak-tap-e-ġham-e-tasḳhīr-e-nāla haigarmī-e-nabz-e-nabz-e-ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ na pūchh
mohabbat meñ ye kyā maqām aa rahe haiñki manzil pe haiñ aur chale jā rahe haiñ
uḌaa.ī ḳhaak jis sahrā meñ tere vāste maiñ nethakā-māñda milā in manziloñ meñ āsmāñ mujh ko
ziyārat-gāh-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad merīki ḳhāk-e-rāh ko maiñ ne batāyā rāz-e-alvandī
us lab se mil hī jā.egā bosa kabhī to haañshauq-e-fuzūl o jur.at-e-rindāna chāhiye
merī hastī shauq-e-paiham merī fitrat iztirābkoī manzil ho magar guzrā chalā jaatā huuñ maiñ
rah-e-vafā ko na chhoḌā vo andalīb huuñ maiñchhuTā qafas se to parvāz kī chaman kī taraf
kise nahīñ hai tamannā-e-sarvarī lekinḳhudī kī maut ho jis meñ vo sarvarī kyā hai
phir be-ḳhudī meñ bhuul gayā rāh-e-kū-e-yārjaatā vagarna ek din apnī ḳhabar ko maiñ
merī himmat dekhnā merī tabī.at dekhnājo sulajh jaatī hai gutthī phir se uljhātā huuñ maiñ
nāla-kashī raqīb se merī tarah muhāl haidil nahīñ hausla nahīñ zohra nahīñ jigar nahīñ
kabhī chhoḌī huī manzil bhī yaad aatī hai raahī kokhaTak sī hai jo siine meñ ġham-e-manzil na ban jaa.e
juz ijz kyā karūñ ba-tamannā-e-be-ḳhudītāqat harīf-e-saḳhtī-e-ḳhvāb-e-girāñ nahīñ
aql o junūñ meñ sab kī thiiñ rāheñ judā judāhir-phir ke lekin ek hī manzil pe aa ga.e
kyā ḳhauf ho hameñ zan-e-duniyā ke makr kāapnī madad ko himmat-e-mardāna saath hai
DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ 'iqbāl' apne-āp koaap hī goyā musāfir aap hī manzil huuñ maiñ
barq-e-ba-jān-e-hausla ātish-fagan 'asad'ai dil-fasurda tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ nahīñ
kisī kī mast-nigāhī ne haath thaam liyāsharīk-e-hāl jahāñ merī be-ḳhudī na huī
tujhe ai ḳhatīb-e-chaman nahīñ ḳhabar apne ḳhutba-e-shauq meñki kitāb-e-gul kā varaq varaq tirī be-ḳhudī se bikhar gayā
ḳhudī se is tilism-e-rañg-o-bū ko toḌ sakte haiñyahī tauhīd thī jis ko na tū samjhā na maiñ samjhā
har qadam dūrī-e-manzil hai numāyāñ mujh semerī raftār se bhāge hai bayābāñ mujh se