kuchh patā manzil-e-maqsūd kā paayā ham nejab ye jaanā ki hameñ tāqat-e-raftār nahīñ
tū apnī ḳhudī ko kho chukā haikhoī huī shai kī justujū kar
hai sarīr-e-ḳhāma rezish-hā-e-istiqbāl-e-nāznaama ḳhud paiġhām ko bāl-o-par-e-parvāz hai
bin gul muā hī maiñ to pa tū jā ke lauTiyosehn-e-chaman meñ ai par-e-parvāz mere ba.ad
hujūm-e-jalva meñ parvāz-e-shauq kyā kahnāki jaise ruuh sitāroñ ke darmiyāñ guzre
tūl-e-amal kā rasta mumkin nahīñ ki tai homanzil pe bhī pahuñch kar manzil ko DhūñDte haiñ
kuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñtarīq-e-pārsā.ī hove yā ho rāh-e-rindānā
paḌā huuñ sar-e-bazm maiñ dam churā.emagar vo ise be-ḳhudī jānte haiñ
hosh aarif kī hai yahī pahchānki ḳhudī meñ samā nahīñ saktā
saat pardoñ meñ nahīñ Thahartī aañkhhausla kyā hai tamāshā.ī kā
ai tā.ir-e-lāhautī us rizq se maut achchhījis rizq se aatī ho parvāz meñ kotāhī
dil guzargāh-e-ḳhayāl-e-mai-o-sāġhar hī sahīgar nafas jāda-e-sar-manzil-e-taqvī na huā
ai husn apnī hausla-afzā.iyāñ to dekhmaanā ki chashm-e-shauq bahut be-hijāb hai
ai ḳhizr pai-e-ḳhajista bahr-e-ḳhudā karam karbhaTke hue musāfir manzil ko DhūñDte haiñ
na hoñ jin ke Thikāne hosh vo manzil ko kyā pahuñcheki rasta haath aayā jis kī hushyārī se haath aayā
adam kī jo haqīqat hai vo pūchho ahl-e-hastī semusāfir ko to manzil kā patā manzil se miltā hai
har qadam kahtā hai tū aayā hai jaane ke liyemanzil-e-hastī nahīñ hai dil lagāne ke liye
umr kī manzil to juuñ tuuñ kaT ga.īmarhale ab dekhiye pesh aa.eñ kyā
girāñ-bahā hai to hifz-e-ḳhudī se hai varnaguhar meñ āb-e-guhar ke sivā kuchh aur nahīñ
tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham kā hauslatū ne phir kyuuñ kī thī merī ġham-gusārī haa.e haa.e
aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aaai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yaañ hosh-o-ḳhirad kā kaam nahīñ
pata andesha-e-sālik ne paayā manzil-e-dil kātū palTā lā-makāñ se āsmāñ-dar-āsmāñ ho kar
diyā apnī ḳhudī ko jo ham ne uThā vo jo parda sā biich meñ thā na rahārahe parde meñ ab na vo parda-nashīñ koī dūsrā us ke sivā na rahā
manzil-e-shauq tai nahīñ hotīThekiyāñ nā-tavān lete haiñ
kyā diin ko quvvat deñ ye javāñ jab hausla-afzāñ koī nahīñkyā hosh sambhāleñ ye laḌke ḳhud us ne sambhalnā chhoḌ diyā
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahleḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
zo.af se hai ne qanā.at se ye tark-e-justujūhaiñ vabāl-e-takiya-gāh-e-himmat-e-mardāna ham