Gasta Taar Hai Teri Khudi Ka Saaz Ab TakKe Tu Hai Naghma-e-Tumi Se Be-Niaz Ab Tak!
Aghyar Ke Afkar-o-Takhiyyul Ki Gadai!Kya Tujh Ko Nahin Apni Khudi Tak Bhi Rasai?
Fitrat Ko Dikhaya Bhi Hai, Dekha Bhi Hai Tu NeAaeena-e-Fitrat Mein Dikha Apni Khudi Bhi!
Jis Ko Mashroo Samjhte Hain Faqeehan-e-KhudiMuntazir Hai Kisi Mutarib Ka Abhi Tak Woh Surood!
Taseer-e-Ghulami Se Khudi Jis Ki Huwi NaramAchi Nahin Uss Qoum Ke Haq Mein Ajami Laiy
Hai Shair-e-Ajam Gharche Tarabnaak-o-Dil-AwaizIss Shair Se Hoti Nahin Shamsheer-e-Khudi Taiz
Khudi Buland Thi Uss Khoon Garifta-Cheeni KiKaha Ghareeb Ne Jallad Se Dam-e-Tazeer
Na Asia Mein Na Yorap Mein Souz-o-Saaz-e-HayatKhudi Ki Mout Hai Ye, Aur Woh Zameer Ki Mout
Tere Buland Munasib Ki Khair Ho, Ya Rab!!Ke In Ke Waste Tu Ne Kiya Khudi Ko Halak
Meri Khudi Bhi Saza Ki Hai Mustahiq LekinZamana Daar-o-Rasan Ki Talash Mein Hai Abhi
Taleem Ke Tezaab Mein Daal Iss Ki Khudi KoHo Jaye Malayam To Jidhar Chahe, Isse Phair
Suna Hai Main Ne, Ghulami Se Ummaton Ki NijatKhudi Ki Parwarish-o-Lazzat-e-Namood Mein Hai
Roz-e-Azal Se Hai Tu Manzil-e-Shaheen-o-CharkhLala-o-Gul Se Tehi, Naghma-e-Bulbul Se Pak
Khudi Mein Doob, Zamane Se Na-Umeed Na HoKe Iss Ka Zakhm Hai Darparda Ehtimam-e-Rafu
Teri Khudi Mein Agar Inqilab Ho PaidaAjab Nahin Hai Ke Ye Char Soo Badal Jaye
Mehram Khudi Se Jis Dam Huwa FaqrTu Bhi Shehenshah, Mein Bhi Shehenshah
Taqleed Se Nakara Na Kar Apni Khudi KoKar Iss Ki Hifazat Ke Ye Gohar Hai Yagana
Rumi Badle, Shaami Badle, Badla HindustanTu Bhi Ae Farzand-e-Kuhastan! Apni Khudi Pehchan
Apni Khudi PehchanO Ghafil Afghan!
Apni Khudi PehchanO Ghafil Afghan!
Apni Khudi PehchanO Ghafil Afghan!
Apni Khudi PehchanO Ghafil Afghan!
Apni Khudi PehchanO Ghafil Afghan!
Un Ko Kya Maloom Uss Tair Ke Ahwal-o-MaqamatRooh Hai Jis Ki Dam-e-Parwaz Sar Ta Pa Nazar!
Ishq Tiniat Mein Firomaya Nahin Misl-e-HawasPar Shahbaz Se Mumkin Nahin Parwaz-e-Magas
Mard-e-Be Hosla Karta Hai Zamane Ka GilaBand-e-Hur Ke Liye Nashtar-e-Taqdeer Hai Nosh
Be Ashak-e-Sehargahi Taqweem-e-Khudi MushkilYe Lala-e-Paikani Khaushtar Hai Kinar-e-Ju
Mumkin Nahin Takhleeq-e-Khudi Khanqahon SeIss Shaola-e-Nam Khorda Se Toote Ga Sharar Kya !
Be Juraat-e-Rindana Har Ishq Hai RubahiBazoo Hai Qawi Jis Ka, Woh Ishq Yadullahi
Jo Sakhti-e-Manzil Ko Saman-e-Safar SamjheAe Waye Tan Asani ! Na-Paid Hai Woh Raahi
Ye Neelgun Faza Jise Kehte Hai AsamanHimmat Ho Par Kusha To Haqiqat Mein Kuch Nahin
Farang Se Bohat Aage Hai Manzil-e-MominQadam Utha! Ye Maqam Intahaye Rah Nahin