Hai Kis Ki Ye Juraat Ke Musalman Ko TokeHurriyat-e-Afkar Ki Naimat Hai Khudadad
Kare Ye Kafir-e-Hindi Bhi Juraat-e-GuftarAgar Na Ho Umraye Arab Ki Be Adabi !
Meh-o-Sitara, Misal-e-Shararah Yak Do NafasMai-e-Khudi Ka Abad Tak Suroor Rehta Hai
Nazar Sipihr Pe Rakhta Hai Sitara ShanasNahin Hai Apni Khudi Ke Maqam Se Aagah
Khudi Ko Jis Ne Falak Se Buland Tar DekhaWohi Hai Mamlikat-e-Subah-o-Sham Se Aagah
Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin RehtiHo Jis Ke Jawanon Ki Khudi Soorat-e-Foulad
Shaheen Kabhi Parwaz Se Thak Kar Nahin GirtaPur Dam Hai Agar Tu To Nahin Khatra-e-Uftad
Tu Reh Naward-e-Shauq Hai, Manzil Na Kar QaboolLaila Bhi Hum-Nasheen Ho To Mehmil Na Kar Qabool
Na Main Ajami Na Hindi, Na Iraqi-o-HijaziKe Khudi Se Main Ne Sikhi Do Jahan Se Be-Niazi
Jis Banda-e-Haq Been Ki Khudi Ho Gyi BaidarShamsheer Ki Manind Hai Buranda-o-Barraq
Khudi Ki Parwarish-o-Tarbiat Pe Hai MoqoofKe Musht-e-Khak Mein Paida Ho Atish-e-Hama Souz
Khudi Ho Zinda To Hai Faqr Bhi ShehanshahiNahin Hai Sanjar-o-Tughral Se Kam Shikoh-e-Faqeer
Khudi Ho Zinda To Darya-e-Be Karan PayaabKhudi Ho Zinda To Kuhsar Parniyan-o-Hareer
Iqbal! Yahan Naam Na Le Ilm-e-Khudi KaMozoon Nahin Maktab Ke Liye Aese Maqalat
Jahan Khudi Ka Bhi Hai Sahib-e-Faraz-o-NashaibYahan Bhi Maarka Aara Hai Khoob Se Na-Khoob
Namood Jis Faraz-e-Khudi Se Ho, Woh JameelJo Ho Nashaib Mein Paida, Qabeeh-o-Na-Mehboob
Khudi Ki Mout Se Maghrib Ka Androon Be-NoorKhudi Ki Mout Se Mashriq Hai Mubtala-e-Juzaam
Khudi Ki Mout Se Rooh-e-Arab Hai Be-Tab-o-TaabBadan Iraq-o-Ajam Ka Hai Be-Urooq-o-Izaam
Khudi Ki Mout Se Hindi Shikasta Balon ParQafas Huwa Hai Hilal Aur Ashiyana Haraam!
Khudi Ki Mout Se Peer-e-Haram Huwa MajboorKe Baich Khaye Musalman Ka Jama-e-Ahraam!
Chahiye Khana-e-Dil Ki Koi Manzil KhaliShaid Aa Jaye Kahin Se Koi Mehman-e-Aziz
Mile Ga Manzil-e-Maqsood Ka Ussi Ko SuraghAndheri Shab Mein Hai Cheete Ki Ankh Jis Ka Charagh
Iss Ki Taqleed Mein Mehkoomi-o-Mazloomi HaiQoum Jo Kar Na Saki Apni Khudi Se Insaf
Shakh-e-Gul Par Chehak Wa-LekinKar Apni Khudi Mein Ashiyana!
Himmat Ho Agar To Dhoond Woh FaqrJis Faqr Ki Asal Hai Hijazi
Abhi Tak Hai Parde Mein Aulad-e-AdamKisi Ki Khudi Ashakara Nahin Hai
Khalwat Mein Khudi Hai Khudgeer, WalekinKhalwat Nahin Ab Dair-o-Haram Mein Bhi Muyassar
Agar Khudi Ki Hifazat Karain To Aen-e-HayatNa Kar Sakain To Sarapa Fusoon-o-Afsana
Huwi Hai Zair-e-Falak Ummaton Ki RuswayiKhdui Se Jab Adab-o-Deen Huwe Hain Begana
Khudi Mein Doobne Walon Ke Azam-o-Himmat NeIss Aabjoo Se Kiye Behar-e-Bekaran Paida
Khudi Ki Mout Se Mashriq Ki Sarzameenon MeinHuwa Na Koi Khudai Ka Raazdan Paida
Teri Khudi Se Hai Roshan Tera Hareem-e-WujoodHayat Kya Hai, Ussi Ka Suroor-o-Souz-o-Sabat
Harem Tera, Khudi Ghair Ki ! Maaz AllahDobara Zinda Na Kar Karobar-e-Laat-o-Manat
Yehi Kamal Hai Tamseel Ka Ke Tu Na RaheRaha Na Tu To Na Souz-e-Khudi , Na Saaz-e-Hayat
Mehr-o-Mah-o-Mushtari, Chand Nafs Ka FaroghIshq Se Hai Paidar Teri Khudi Ka Wujood
Teri Khudi Ka Ghayaab Maarka-e-Zikr-o-FikrTeri Khudi Ka Huzoor Alam-e-Shair-o-Surood
Gar Hunar Mein Nahin Tameer-e-Khudi Ka JoharWaye Soorat-Gari-o-Shairi-o-Naaye-o-Surood
Na Khudi Hai, Na Jahan-e-Sehar-o-Sham Ke DourZindagaani Ki Hareefana Kashakash Se Nijat
Hallaj Ki Lekin Ye Rawayat Hai Ke AkhirEk Mard-e-Qalandar Ne Kiya Raaz-e-Khudi Faash
Hota Hai Magar Mehnat-e-Parwaz Se RoshanYe Nukta Ke Gurdoon Se Zameen Door Nahin Hai