Kiya Gum Taza Parwazon Ne Apna Ashiyan LekinManazir Dilkusha Dikhla Gyi Sahir Ki Chalaki
Hairati Hun Mein Teri Tasveer Ke Ijaz KaRukh Badal Dala Hai Jis Ne Waqt Ki Parwaz Ka
Hawas Bhi Ho To Nahin Mujh Mein Himmat-e-Tag-o-TaazHusool-e-Jah Hai Wabasta-e-Mazaq-e-Talash
Qayamat Hai Ke Fitrat Sou Gyi Ahl-e-Gulistan KiNa Hai Baidar Dil Peeri, Na Himmat Khawah Barnai
Kuch Kaifiat-e-Muslim-e-Hindi To Bayan KarWa Mandah-e-Manzil Hai Ke Masroof-e-Tag-o-Taaz
Aya Hai Magar Iss Se Aqeedaton Mein TazalzalDunya To Mili, Taeer-e-Deen Kar Gya Parwaz
Reh-e-Yak Gaam Hai Himmat Ke Liye Arsh-e-BareenKeh Rahi Hai Ye Musalman Se Meeraj Ki Raat
Pare Hai Charakh-E-Neeli Faam Se Manzil Musalman KiSitare Jis Ki Gard-E-Rah Hon, Woh Karwan Tu Hai
Miyan-E-Shakhsaran Sohbat-E-Murgh-E-Chaman Kab Talak!Tere Bazu Mein Hai Parwaz-E-Shaheen-E-Kehsatani
Mil Hi Jaye Gi Kabhi Manzil-e-Laila Iqbal !Koi Din Aur Abhi Baad Ye Pemayi Kar
Taleem-e-Maghrabi Hai Bohat Juraat AfreenPehla Sabaq Hai, Baith Ke College Mein Maar Deeng
Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha IllallahKhudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah
De Walwala-e-Shauq Jise Lazzat-e-ParwazKar Sakta Hai Woh Zarra Mah-o-Mehr Ko Taraaj
Tu Apni Khudi Agar Na KhotaZunnari-e-Bargsan Na Hota
Mohkam Kaise Ho ZindagiKis Tarah Khudi Ho La-Zamani!
Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil HaraamShorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam
Halqa-e-Shouk Mein Woh Jurrat-e-Andesha KahanAah Mehkoomi-o-Taqleed-o-Zawal-e-Tehqeeq !
Rooh Islam Ki Hai Noor-e-Khudi, Naar-e-KhudiZindagaani Ke Liye Naar-e-Khudi Noor-o-Huzoor
Zindagaani Hai Sadaf, Qatra-e-Neesan Hai KhudiWoh Sadaf Kya Ke Jo Qatre Ko Guhar Kar Na Sake
Ho Agar Khudnigar-o-Khudgar-o-Khudgeer KhudiYe Bhi Mumkin Hai Ke Tu Mout Se Bhi Mer Na Sake
Khudi Ko Jab Nazar Ati Hai Qahari ApniYehi Maqam Hai Kehte Hain Jis Ko Sultani
Magar Ye Paidar-e-Khaki Khudi Se Hai KhaliFaqat Nayam Hai Tu, Zar Nigar-o-Beshamsheer!
Wujood Kya Hai, Faqat Johar-e-Khudi Ki NamoodKar Apni Fikar Ke Johar Hai Be Namood Tera
Ye Zikr-e-Neem Shabi, Ye Marakabe, Ye SuroorTeri Khudi Ke Nigheban Nahin To Kuch Bhi Nahin
Torha Nahin Jadoo Meri Takbeer Ne Tera?Hai Tujh Mein Mukar Jane Ki Jurrat To Mukar Ja!
Pasand Rooh-o-Badan Ki Hai Wa Namood Iss KoKe Hai Nihayat-e-Momin Khudi Ki Uryani
Jurrat Ho Namoo Ki Tu Faza Tang Nahin HaiAe Mard-e-Khuda, Mulk-e-Khuda Tang Nahin Hai!
Mazhab Mein Bohat Taza Pasand Iss Ki TabiyatKar Le Kahin Manzil To Guzerta Hai Bohat Jald