Arsh Ka Hai Kabhi Kaabe Ka Hai Dhoka Iss ParKis Ki Manzil Hai Elahi! Mera Kashana-e-Dil
Hun Woh Rahru Ke Mohabbat Hai Mujhe Manzil SeKyun Tarapti Hun, Ye Puche Koi Mere Dil Se
Qasad Kis Mehfil Ka Hai Hai? Ata Hai Kis Mehfil Se TuZard Ru Shayad Huwa Ranj-e-Reh-e-Manzil Se Tu
Main Rah-e-Manzil Mein Hun, Tu Bhi Rah-e-Manzil Mein HaiTeri Mehfil Mein Jo Khamoshi Hai, Mere Dil Mein Hai
Garcha Main Zulmat Sarapa Hun, Sarapa Noor TuSaikron Manzil Hai Zauq-e-Aghi Se Door Tu
Saya Diya Shajar Ko, Parwaz Di Hawa KoPani Ko Di Rawani, Moujon Ko Be-Kali Di
Thi Haqiqat Se Na Ghaflat Fikar Ki Parwaz MeinAankh Taeer Ki Nasheman Par Rahi Parwaz Mein
Maqam Hum Safron Se Ho Iss Qadar AgayKe Samajhe Manzil-e-Maqsood Karwaan Mujh Ko
Nahin Begangi Achi Rafiq-e-Rah Manzil SeTheher Ja Ae Sharar, Hum Bhi To Akhir Mitne Wale Hain
Dhoonta Phirta Hun Ae Iqbal Apne App KoApp Hi Goya Musafir, App Hi Manzil Hun Mein
Ho Ga Kabhi Khatam Ye Safar KyaManzil Kabhi Aye Gi Nazar Kya
Hum Nasheen Taron Ka Hai Tu Riffat-e-Parwaz SeAe Zameen Farsa, Qadam Tera Falak Pema Bhi Hai
Janib-e-Manzil Rawan Be-Naqsh-e-Pa Manind-e-MoujAur Phir Uftada Misl-e-Sahil-e-Darya Bhi Hai
Dard Apna Mujh Se Keh, Main Bhi Sarapa Dard HunJis Ki Tu Manzil Tha, Main Uss Karwan Ki Gard Hun
Hai Azal Se Ye Musafir Sooye Manzil Ja RahaAsman Se Inqalabon Ka Tamasha Dekhta
Badshahon Ki Bhi Kisht-e-Umar Ka Hasil Hai GaurJadah-e-Azmat Ki Goya Akhri Manzil Hai Gaur
Aasman Ne Amad-e-Khursheed Ki Pa Kar KhabarMehmil-e-Parwaz-e-Shab Bandha Sar-e-Dosh-e-Ghubar
Hamesha Soorat-e-Bad-e-Sehar Awara Rehta HunMohabbat Mein Hai Manzil Se Bhi Khaushtar Jadah Pemayi
Tair-e-Dil Ke Liye Gham Shehpar-e-Parwaz HaiRaaz Hai Insan Ka Dil, Gham Inkashaf-e-Raaz Hai
Ae Ke Nazm-e-Dehr Ka Idraak Hai Hasil TujheKyun Na Asan Ho Gham-o-Andoh Ki Manzil Tujhe