Zameer-e-Lala Mai’ay La’al Se Huwa LabraizIshara Pate Hi Sufi Ne Tor Di Parhaiz
Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke May KhaneYahan Saqi Nahin Payda, Wahan Be-Zauq Hai Sehba
aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayāsāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai
Labalab Shisha’ay Tehzeeb-e-Hazir Hai Ma’ay ‘LA’ SeMagar Saqi Ke Hathon Mein Nahin Paymana’ay ‘ILLAH’
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishqhai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere ba.ad
Jis Ka Amal Hai Be-Gharz, Uss Ki Jaza Kuch Aur HaiHoor-o-Khiyaam Se Guzr, Badah-o-Jaam Se Guzr
saltanat dast-ba-dast aa.ī haijām-e-mai ḳhātam-e-jamshed nahīñ
Khirad Ne Mujh Ko Atta Ki Nazar HakeemanaSikhai Ishq Ne Mujh Ko Hadees-e-Rindana
taa.at meñ tā rahe na mai-o-añgbīñ kī laagdozaḳh meñ Daal do koī le kar bahisht ko
Na Bada Hai, Na Soorahi, Na Dour-e-PemanaFaqt Nigah Se Rangeen Hai Bazm-e-Janana