kal ke liye kar aaj na ḳhissat sharāb meñye sū-e-zan hai sāqi-e-kausar ke baab meñ
Meri Nuwa-e-Preshan Ko Shayari Na SamajhKe Main Hun Mehram-e-Raaz-e-Darun-e-Maikhana
agle vaqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kahojo mai o naġhma ko andoh-rubā kahte haiñ
Maikhane-e-Yourap Ke Dastoor Nirale HainLate Hain Suroor Awwal, Dete Hain Sharab Akhir
hālāñki hai ye sīli-e-ḳhārā se laala rañgġhāfil ko mere shīshe pe mai kā gumān hai
Ae Tair-e-Lahooti! Uss Rizq Se Mout AchiJis Rizq Se Ati Ho Parwaz Mein Kotahi
sābit huā hai gardan-e-mīnā pe ḳhūn-e-ḳhalqlarze hai mauj-e-mai tirī raftār dekh kar
Woh Atish Aaj Bhi Tera Nasheman Phook Sakti HaiTalab Sadiq Na Ho Teri To Phir Kya Shikwa-e-Saqi !
harīf-e-joshish-e-dariyā nahīñ ḳhuddārī-e-sāhiljahāñ saaqī ho tū bātil hai da.avā hoshiyārī kā
Gharche Hai Afsaye Raaz, Ahl-e-Nazar Ki FagahanHo Nahin Sakta Kabhi Shewa-e-Rindana Aam
'asad' sāġhar-kash-e-taslīm ho gardish se gardūñ kīki nañg-e-fahm-e-mastāñ hai gila bad-rozg-ārī kā
Peer-e-Maikhana Ye Kehta Hai Ke Aiwan-e-FarangSust Bunyad Bhi Hai, Aaeena Diwar Bhi Hai !
ḳhush vahshate ki arz-e-junūn-e-fanā karūñjuuñ gard-e-rāh jāma-e-hastī qabā karūñ
Mai-e-Shabana Ki Masti To Ho Chuki, LekinKhatak Raha Hai Dilon Mein Karishma-e-Saqi