maiñ aur bazm-e-mai se yuuñ tishna-kām aa.uuñgar maiñ ne kī thī tauba saaqī ko kyā huā thā
Meeri Mein Faqeeri Mein, Shahi Mein Ghulami MeinKuch Kaam Nahin Banta Be-Jurrat-e-Rindana
maiñ unheñ chheḌūñ aur kuchh na kaheñchal nikalte jo mai piye hote
Ye Madrasa, Ye Jawan, Ye Suroor-o-RinayiInhi Ke Dam Se Hai Maikhana-e-Farang Abad
vaa.iz na tum piyo na kisī ko pilā sakokyā baat hai tumhārī sharāb-e-tahūr kī
Roshan Hai Jaam-e-Jamshaid Ab TakShahi Nahin Hai Be Sheesha Bazi
mai se ġharaz nashāt hai kis rū-siyāh koik-gūna be-ḳhudī mujhe din raat chāhiye
Haram Ke Pas Koi Ajami Hai Zamzama SanjKe Tar Tar Huwe Jama Haye Ahrami
ya.anī ba-hasb-e-gardish-e-paimāna-e-sifātaarif hamesha mast-e-mai-e-zāt chāhiye
Kis Ko Maaloom Hai Hungama-e-Farda Ka MaqamMasjid-o-Maktab-o-Maikhana Hain Muddat Se Khamosh
mastī ba-zauq-e-ġhaflat-e-sāqī halāk haimauj-e-sharāb yak-mizha-e-ḳhvāb-nāk hai
Jahan Beeni Meri Fitrat Hai LekinKisi Jamshaid Ka Saghar Nahin Main
ḳhayāl-e-jalva-e-gul se ḳharāb haiñ mai-kashsharāb-ḳhāne ke dīvār-o-dar meñ ḳhaak nahīñ
Phir Woh Sharab-e-Kuhan Mujh Ko Ata Kar Ke MainDhoond Raha Hun Usse, Torh Ke Jaam-o-Saboo