Khali Sharab-e-Ishq Se Lale Ka Jam HoPani Ki Boond Girya-e-Shabnam Ka Naam Ho
sharh-e-hañgāma-e-hastī hai zahe mausam-e-gulrah-bar-e-qatrā-ba-dariyā hai ḳhoshā mauj-e-sharāb
Har Dil Mai-e-Khiyal Ki Masti Se Choor HaiKuch Aur Aaj Kal Ke Kaleemon Ka Toor Hai
hosh uḌte haiñ mire jalva-e-gul dekh 'asad'phir huā vaqt ki ho bāl-kushā mauj-e-sharāb
Ho Agar Hathon Mein Tere Khana-e-Maujiz RaqamSheesha-e-Dil Ho Agar Tera Misal-e-Jaam-o-Jam
ki zamīñ ho ga.ī hai sar-tā-sarrū-kash-e-sat.h-e-charḳh-e-mīnā.ī
Kya Bhali Lagti Hai Ankhon Ki Shafaq Ki LaaliMai-e-Gulrang Khum-e-Shaam Mein Tu Ne Dali
hai havā meñ sharāb kī tāsīrbāda-noshī hai bāda-paimā.ī
Atta Dard Hota Tha Shayar Ke Dil KoKhudi Tashna Kaam-e-Mai-e-Bekhudi Thi
qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parvar huāḳhatt-e-jām-e-mai sarāsar rishta-e-gauhar huā
Muddat Se Raha Karte The Humsaye Mein MereThi Rind Se Zahid Ki Mulaqat Purani
nashsha meñ gum-karda-rāh aayā vo mast-e-fitna-ḳhūaaj rañg-rafta daur-e-gardish-e-sāġhar huā
Rindi Se Bhi Aagah, Shariat Se Bhi WaqifPucho Jo Tasawwuf Ki To Mansoor Ka Sani
ai ba-zabt-e-hāl-e-nā-afsurdagāñ josh-e-junūñnashsha-e-mai hai agar yak-parda nāzuk-tar huā
Ya Rab Iss Saghir-e-Labraiz Ki Mai Kya Ho GiJadah-e-Mulk-e-Baqa Hai Khat-e-Pemane-e-Dil
is chaman meñ resha-dārī jis ne sar kheñchā 'asad'tar zabān-e-lutf-e-ām-e-sāqī-e-kausar huā
Na Sehba Hun Na Saqi Hon, Na Masti Hon Na PemanaMain Iss Mai Khana-e-Hasti Mein Har Shay Ki Haqiqat Hun
mīnā-e-mai hai sarv nashāt-e-bahār sebāl-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharāb hai
Nazar Thi Soorat-e-Salman (R.A.) Ada Shanas TeriSharab-e-Deed Se Bharti Thi Aur Piyas Teri
jādād-e-bāda-noshī-e-rindāñ hai shash-jihatġhāfil gumāñ kare hai ki getī ḳharāb hai