Lagi Na Meri Tabiat Riyaz-e-Jannat MeinPiya Shaur Ka Jab Jaam-e-Aatisheen Main Ne
nashsha-e-mai be-chaman dūd-e-charāġh-e-kushta haijaam dāġh-e-shola-andūd-e-charāġh-e-kushta hai
Kabhi Mein Ghaar-e-Hira Mein Chupa Raha BarsonDiya Jahan Ko Kabhi Jaam-e-Akhreen Main Ne
zarra zarra sāġhar-e-mai-ḳhāna-e-nai-rañg haigardish-e-majnūñ ba-chashmak-hā-e-lailā āshnā
Meri Qismat Mein Hai Har Roz Ka Merna JeenaSaqi-e-Mout Ke Hathon Se Saboohi Peena
be-dimāġhī shikva-sañj-e-rashk-e-ham-dīgar nahīñyaar terā jām-e-mai ḳhamyāza merā āshnā
Lakh Woh Zabt Kare Par Main Tapak Ho JaunSaghir-e-Didah-e-Purnam Se Chhalak Ho Jaun
sarf-e-bahā-e-mai hue ālāt-e-mai-kashīthe ye hī do hisāb so yuuñ paak ho ga.e
Har Subah Uth Ke Gayen Mantar Woh Meethe MeetheSare Pujariyon Ko Mai Peet Ki Pila Dain
jāñ-fizā hai baada jis ke haath meñ jaam aa gayāsab lakīreñ haath kī goyā rag-e-jāñ ho ga.iiñ
Tor Dali Mout Ne Ghurbat Mein Meenaye AmeerChashme-e-Mehfil Mein Hai Ab Tak Kaif-e-Sehbaye Ameer
na kī sāmān-e-aish-o-jāh ne tadbīr vahshat kīhuā jām-e-zumurrad bhī mujhe dāġh-e-palañg āḳhir
Uthain Ge Azar Hazaron Shair Ke Butkhane SeMai Pilayen Gen Aye Saqi Naye Pemane Se
likhī yāroñ kī bad-mastī ne maiḳhāne kī pāmālīhui qatra-fishānī-hā-e-mai-bārān-e-sañg āḳhir
Uth Gye Saqi Jo The, Mai-Khana Khali Reh GyaYadgar-e-Bazm-e-Dehli Aik Hali Reh Gya
pī jis qadar mile shab-e-mahtāb meñ sharābis balġhamī-mizāj ko garmī hī raas hai
Garaj Ka Shor Nahin Hai, Khamosh Hai Ye GhataAjeeb Mai Kuda-e-Be Kharosh Hai Ye Ghata
ba-qadr-e-zarf hai saaqī ḳhumār-e-tishna-kāmī bhījo tū dariyā-e-mai hai to maiñ ḳhamyāza huuñ sāhil kā
Sharab-e-Surkh Se Rangeen Huwa Hai Daman-e-ShaamLiye Hai Peer-e-Falak Dast-e-Raishadar Mein Jaam
sharar-fursat nigah sāmān-e-yak-ālam charāġhāñ haiba-qadr-e-rañg yaañ gardish meñ hai paimāna mahfil kā