ik ḳhūñ-chakāñ kafan meñ karoḌoñ banāo haiñpaḌtī hai aañkh tere shahīdoñ pe huur kī
Dafan Tujh Mein Koi Fakhar-e-Rozgar Aesa Bhi Hai?Tujh Mein Pinhan Koi Moti Aab Dar Aesa Bhi Hai?
bhalā use na sahī kuchh mujhī ko rahm aatāasar mire nafas-e-be-asar meñ ḳhaak nahīñ
Aao Jo Mere Ghar Mein To Izzat Hai Ye MeriWoh Samne Seerhi Hai Jo Manzoor Ho Ana
tum na aaoge to marne kī haiñ sau tadbīreñmaut kuchh tum to nahīñ ho ki bulā bhī na sakūñ
Urti Huwi Ayi Ho Khuda Jane Kahan SeThehro Jo Mere Ghar Mein To Hai Iss Mein Bura Kya!
mujh ko dayār-e-ġhair meñ maarā vatan se duurrakh lī mire ḳhudā ne mirī bekasī kī sharm
Koi Pahar Ye Kehta Tha Ek Gulehri SeTujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Maray
maiñ bhī ruk ruk ke na martā jo zabāñ ke badledashna ik tez sā hotā mire ġham-ḳhvār ke paas
Door Dunya Ka Mere Dam Se Andhera Ho JayeHar Jagha Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaye
nahīñ dil meñ mire vo qatra-e-ḳhūñjis se mizhgāñ huī na ho gul-bāz
Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki ZeenatJis Tarha Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat
na huī gar mire marne se tasallī na sahīimtihāñ aur bhī baaqī ho to ye bhī na sahī
Mere ALLAH Burai Se Bachana MujhkoNaik Jo Rah Ho, Ussi Reh Pe Chalana Mujhko
na satā.ish kī tamannā na sile kī parvāgar nahīñ haiñ mire ash.ār meñ ma.anī na sahī
Ati Nahin Sadaen Uss Ki Mere Qafas MeinHoti Meri Rehai Ae Kash Mere Bus Mein!