Dilon Mein Walwala-e-Inqilab Hai PaidaQareeb Aa Gyi Shaid Jahan-e-Peer Ki Mout!
Woh Faqa Kash Ke Mout Se Darta Nahin ZaraRooh-e- Muhammad (S.A.W.) Iss Ke Badan Se Nikal Do
Dehqan Hai Kisi Qabar Ka Ugla Huwa MurdaBosida Kafan Jis Ka Abhi Zair-e-Zameen Hai
Bechari Kai Roz Se Dam Torh Rahi HaiDar Hai Khabar-e-Bad Na Mere Munh Se Nikl Jaye
Ye Meher Hai Be-Meheri-e-Sayydad Ka PardaAyi Na Mere Kaam Meri Taza Safeeri
Ae Mere Faqr-e-Ghayyur! Faisal Tera Hai KyaKhilat-e-Angraiz Ya Pairhan-e-Chaak Chaak!
Qoumon Ke Liye Mout Hai Markaz Se JuddaiHo Sahib-e-Markaz To Khudi Kya Hai, Khudai!
Khursheed! Sara Parda-e-Mashriq Se Nikl KarPehna Mere Kuhsar Ko Malboos-e-Hinai
Issi Suroor Mein Poshida Mout Bhi Hai TeriTere Badan Men Agar Souz-e-‘La Ilah’ Nahin