Hayat-o-Mout Nahin Iltafat Ke LaeekFaqt Khudi Hai Khudi Ki Nigah Ka Masood
Khudi Ki Mout Se Maghrib Ka Androon Be-NoorKhudi Ki Mout Se Mashriq Hai Mubtala-e-Juzaam
Khudi Ki Mout Se Rooh-e-Arab Hai Be-Tab-o-TaabBadan Iraq-o-Ajam Ka Hai Be-Urooq-o-Izaam
Khudi Ki Mout Se Hindi Shikasta Balon ParQafas Huwa Hai Hilal Aur Ashiyana Haraam!
Khudi Ki Mout Se Peer-e-Haram Huwa MajboorKe Baich Khaye Musalman Ka Jama-e-Ahraam!
Dil Larazta Hai Hareefana Khashakash Se TeraZindagi Mout Hai, Koh Deti Hai Jab Zauq-e-Kharash
Kunjishak-o-Hamam Ke Liye MoutHai Uss Ka Maqam Shahbazi
Ek Zinda Haqiqat Mere Seene Mein Hai MastoorKya Samjhe Ga Woh Jis Ki Ragon Mein Hai Lahoo Sard
Tehzeeb-e-Farangi Hai Agar Marg-e-UmoomatHai Hazrat-e-Insan Ke Liye Iss Ka Samar Mout
Jis Ilm Ki Taseer Se Zan Hoti Hai Na-ZanKehte Hain Ussi Ilm Ko Arbab-e-Nazar Mout
Begana Rahe Deen Se Agar Madrasa-e-ZanHai Ishq-o-Mohabbat Ke Liye Ilm-o-Hunar Mout
Khudi Ki Mout Se Mashriq Ki Sarzameenon MeinHuwa Na Koi Khudai Ka Raazdan Paida
Hai Gilla Mujh Ko Teri Lazzat-e-Paidai KaTu Huwa Fash To Hain Ab Mere Asrar Bhi Fash
Hai Mere Seena Be-Noor Nein Ab Kya BaqiLa Ilaha ’ Murda-o-Afsurda-o-Be-Zauq-e-Namood
Darya Mein Moti, Ae Mouj-e-BebaakSahil Ki Soughat! Khar-o-Khs-o-Khaak
Mere Liye Hai Faqt Zor-e-Haidari KafiTere Naseen Flatoon Ki Taizi-e-Idraak
Agar Nawa Mein Hai Poshida Mout Ka PeghamHaraam Meri Nigahon Mein Naye-o-Chang-o-Rubab!
Ishq-o-Masti Ka Janaza Hai Takhiyyul Un KaIn Ke Andaisha-e-Tareek Mein Qoumon Ke Mazar
Mout Ki Naqsh Gari In Ke Sanam Khanon MeinZindagi Se Hunar In Barhamanon Ka Bezar
Na Asia Mein Na Yorap Mein Souz-o-Saaz-e-HayatKhudi Ki Mout Hai Ye, Aur Woh Zameer Ki Mout