Abar-e-Neesan! Ye Tunak Bakhsi-e-Shabnam Kab TakMere Kuhsar Ke Lale Hain Tehi Jaam Abhi
Badah Gardan-e-Ajam Woh, Arabi Meri SharabMere Saghir Se Jhijhakte Hain Mai Ashaam Abhi
Tu Jo Bijli Hai To Ye Chashmak-e-Pinhan Kab TakBe-Hijabana Mere Dil Se Shanasayi Kar
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan MiliMere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein
Mera Ye Haal, Boot Ki Tou Chatta Hun MainUn Ka Ye Hukam, Dekh! Mere Farash Par Na Reeng
Main Asal Ka Khas SomantiAaba Mere Lati-o-Manati
Afkar Ke Naghma Haye Be SootHain Zauq-e-Amal Ke Waste Mout
Taeg-o-Tufnag Dast-e-Musalman Mein Hai KahanHo Bhi, To Dil Hain Mout Ki Lazzat Se Be-Khabar
Kafir Kimout Se Bhi Larazta Ho Jis Ka DilKehta Hai Kon Usse Ke Musalman Ki Mout Mer
Ho Agar Khudnigar-o-Khudgar-o-Khudgeer KhudiYe Bhi Mumkin Hai Ke Tu Mout Se Bhi Mer Na Sake
Hai Zinda Faqt Wahdat-e-Afkar Se MillatWahdat Ho Fana Jis Se Woh Ilhaam Bhi Ilhaad
Tere Neestan Mein Dala Mere Naghma-e-Sahar NeMeri Khak-e-Pay-Sipar Mein Jo Nihan Tha Ek Sharara
Khamoshi-e-Aflak To Hai Qabar Mein LekinBe-Qaidi-o-Pehnai-e-Aflak Nahin Hai
Ek Nukta Mere Pas Hai Shamsheer Ki ManindBurrinda-o-Saqeel Zada-o-Roshan-o-Burraq
Mout Ke Aaeene Mein Tujh Ko Dikha Kar Rukh-e-DostZindagi Tere Liye Aur Bhi Dushwar Kare
Nazar Allah Pe Rakhta Hai Musalman-e-GhayoorMout Kya Shay Hai,Faqt Alam-e-Maani Ka Safar
Ho Zinda Kafan Posh To Mayyat Use SamjhainYa Chaak Karain Mardak-e-Nadan Ke Kafan Ko?
Nihad-e-Zindagi Mein Ibtida ‘LA’ , Intiha ‘ILLA’Payam-e-Mout Hai Jab ‘LA’ Huwa ‘ILLA’ Se Begana
Farishta Mout Ka Chhuta Hai Go Badan TeraTere Wujood Ke Markaz Se Door Rehta Ha!
Nigah Mout Pe Rakhta Hai Mard-e-Danish-MandHayat Hai Shab-e-Tareek Mein Sharar Ki Namood