Kaisi Hairani Hai Ye Ae Tiflak-e-Parwana Khu!Shama Ke Shaolon Ko Ghariyon Dekhta Rehta Hai Tu
Shama Ek Shaola Hai Lekin Tu Sarapa Noor HaiAh! Iss Mehfil Mein Ye Uryan Hai Tu Mastoor Hai
Husn, Kohistan Ki Haibatnaak Khamoshi Mein HaiMehr Ki Zou Gastri, Shab Ji Siyah Poshi Mein Hai
Asman-e-Subah Ki Aaeena Poshi Mein Hai YeSham Ki Zulmat, Shafaq Ki Gul Faroshi Mein Hai Ye
Sukoot-e-Shaam Mein Mehv-e-Surood Hai RaviNa Puch Mujh Se Jo Kaifiat Mere Dil Ki
Sharab-e-Surkh Se Rangeen Huwa Hai Daman-e-ShaamLiye Hai Peer-e-Falak Dast-e-Raishadar Mein Jaam
Sitare Ishq Ke Teri Kashish Se Hain QaeemNizam-e-Mehr Ki Soorat Hai Tera
Woh Shama-e-Bargah-e-Khandan-e-MurtazviRahe Ga Misl-e-Haram Jis Ka Astan Mujh Ko
Woh Mera Yousaf-e-Sani, Woh Shama-e-Mehfil-e-IshqHuwi Hai Jis Ki Akhuwat Qarar-e-Jaan Mujh Ko
Wahin Se Raat Ko Zulmat Mili HaiChamak Tare Ne Payi Hai Jahan Se
Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sitaron KiNirala Ishq Hai Mera, Nirale Mere Nale Hain
Jala Sakti Hai Shama-e-Kushta Ko Mouj-e-Nafas In KiElahi! Kya Chupa Hota Hai Ahl-e-Dil Ke Seenon Mein
Uroos-e-Shab Ki Zulfain Theen Abhi Na-Ashna Kham SeSitare Asaman Ke Be-Khabar The Lazzat-e-Ram Se