Chamak Tare Se Mangi, Chand Se Dagh-e-Jigar MangaUrhayi Teergi Thori Si Shab Ki Zulf-e-Barham Se
Mila Jawab Ke Tasveer-e-Khana Hai DunyaShab-e-Daraz-e-Aadam Ka Fasana Hai Dunya
Kahin Qareeb Tha, Ye Gutugu Qamar Ne SuniFalak Pe Aam Huwi, Akhtar-e-Sehar Ne Suni
Sehar Ne Tare Se Sun Kar Sunayi Shabnam KoFalak Ki Baat Bata Di Zameen Ke Mehram Ko
Ishq Ne Kar Diya Tujhe Zauq-e-Tapish Se AshnaBazm Ko Misl-e-Shama-e-Bazm Hasil-e-Souz-o-Saaz
Soorat-e-Shama Noor Ki Milti Nahin Qaba UseJis Ko Khuda Na Dehr Mein Girya-e-Jaan Gudaz De
Tare Mein Woh, Qamar Mein Woh, Jalwagah-e-Sehar Mein WohChashm-e-Nazara Mein Na Tu Surma-e-Imtiaz De
Shama-e-Sehar Ye Keh Gyi Souz Hai Zindagi Ka SaazGhamkuda-e-Namood Mein Shart-e-Dawam Aur Hai
Sitara Subah Ka Rota Tha Aur Ye Kehta ThaMili Nigah Magar Fursat-e-Nazar Na Mili
Huwi Hai Zinda Dam-e-Aftab Se Har ShayAman Mujhi Ko Teh-e-Daman-e-Sehar Na Mili
Bisat Kya Hai Bhala Subah Ke Sitare KiNafas Habab Ka, Tabindagi Sharare Ki
Kaha Ye Main Ne Ke Ae Zaiwar-e-Jabeen-e-Sehar !Gham-e-Fana Hai Tujhe ! Gunbad-e-Falak Se Uter
Jis Tarah Doobti Hai Kishti-e-Simeen-e-QamarNoor-e-Khursheed Ke Toofan Mein Hangam-e-Sehar
Jaise Ho Jata Hai Gum Noor Ka Le Kar AnchalChandani Raat Mein Mehtab Ka Hum-Rang Kanwal