Ya Hairat-e-Farabi Ya Taab-o-Tab-e-RumiYa Fikr-e-Hakeemana Ya Jazb-e-Kaleemana!
ġham-e-firāq meñ taklīf-e-sair-e-bāġh na domujhe dimāġh nahīñ ḳhanda-hā-e-bejā kā
Woh Khak Ke Parwaye Nasheeman Nahin RakhtiChunti Nahin Pehnaye Chaman Se Khs-o-Khashak
gulshan ko tirī sohbat az-bas-ki ḳhush aa.ī haihar ġhunche kā gul honā āġhosh-kushā.ī hai
Rishi Ke Faqon Se Toota Na Barhaman Ka TilismAssa Na Ho To Kaleemi Hai Kaar-e-Bebunyad
gulshan meñ bandobast ba-rañg-e-digar hai aajqumrī kā tauq halqa-e-bairūn-e-dar hai aaj
Tere Nafs Se Huwi Atish-e-Gul Taiz TarMurg-e-Chaman! Hai Yehi Teri Nawa Ka Sila
dūr-ūftāda-e-chaman-e-fikr hai 'asad'murġh-e-ḳhayāl bulbul-e-be-bāl-o-par hai aaj
Nazar Ayi Na Mujhe Qafla Salaron MeinWoh Shabani Ke Hai Tamheed-e-Kaleem-Ullahi
sad-rañg-e-gul katarnā dar-parda qatl karnāteġh-e-adā nahīñ hai pāband-e-be-niyāmī
Lazzat-e-Naghma Kahan Murg-e-Khush Alhan Ke LiyeAah, Iss Bagh Mein Karta Hai Nafas Kotahi