Mukhalif Saaz Ka Hota Nahin SouzJahan Mein Saaz Ka Hai Hum Nasheen Souz
Hum Aahangi Se Hai Mehfil Jahan KiIss Se Hai Bahar Iss Bostan Ki
Payam Sajde Ka Ye Zair-o-Bam Huwa Kujh KoJahan Tamam Sawad-e-Haram Huwa Mujh Ko
Falak Nasheen Sift-e-Mehr Hun Zamane MeinTeri Dua Se Atta Ho Woh Nardbaan Mujh Ko
Ajab Waiz Ki Deen-Dari Hai Ya Rab!Adawat Hai Isse Sare Jahan Se
Wahin Se Raat Ko Zulmat Mili HaiChamak Tare Ne Payi Hai Jahan Se
Ankh Mil Jati Hai Haftad Wa Do Millat Se TeriAik Permana Tera Sare Zamane Ke Liye
Jaye Hairat Hai Bura Sare Zamane Ka Hun MeinMujh Ko Ye Khilaat Sharafat Ka Atta Kyunkar Huwa
Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale HainYe Ashiq Kon Si Basti Ke Ya-Rab Rehne Wale Hain
Abhi Imkan Ke Zulmat Khane Se Ubhri Hi Thi DunyaMazaq-e-Zindagi Poshida Tha Pehnaye Alam Se
Khuda Se Husn Ne Ek Roz Ye Sawal KiyaJahan Mein Kyun Na Mujhe Tu Ne La-Zawal Kiya
Mila Jawab Ke Tasveer-e-Khana Hai DunyaShab-e-Daraz-e-Aadam Ka Fasana Hai Dunya
Betaab Hai Iss Jahan Ki Har ShayKehte Hain Jise Sukoon, Nahin Hain
Junbish Se Hai Zindagi Jahan KiYe Rasm Qadeem Hai Yahan Ki
Hai Dorta Ashab-e-ZamanaKha Kha Ke Talab Ka Taziyana
Ab Taasar Ke Jahan Mein Woh Preshani NahinAhl-e-Gulshan Par Garan Meri Ghazal Khawani Nahin
Le Ke Aya Hai Jahan Mein Adat-e-Seemab TuTeri Betaabi Ke Sadqe, Hai Ajab Betaab Tu
Ye Riffat-e-Asman-e-KhamoshKhawabidah Zameen, Jahan-e-Khamosh
Garz Hai Paikar-e-Zindagi Se Kamal Paye Hilal TeraJahan Ka Farz-e-Qadeem Hai Tu, Ada Misal-e-Namaz Ho Ja
Gye Woh Ayyam, Ab Zamana Nahin Hai Sehra Nawardiyon KaJahan Mein Manind-e-Shama Souzan Miyan-e-Mehfil Gudaz Ho Ja