Ek Jahan-e-Taza Ka Pegham Tha Jin Ka ZahoorKha Gyi Asr-e-Kuhan Ko Jin Ki Taegh-e-Na-Saboor
Nala-Kash Sheeraz Ka Bulbul Huwa Baghdad ParDagh Roya Khoon Ke Ansu Jahan-Abad Par
Nirala Sare Jahan Se Iss Ko Arab Ke Maamaar (S.A.W.) Ne BanayaBina Humare Hisar-e-Millat Ki Ithaad-e-Watan Nahin Hai
Zamane Dekhe Ga Jab Mere Dil Se Mehshar Uthe Ga Gutugoo KaMeri Khamoshi Nahin Hai, Goya Mazar Hai Harf-e-Arzoo Ka
Koi Dil Aesa Nazar Na Aya Na Jis Mein Khawabida Ho TamannaElahi Tera Jahan Kya Hai, Nigar Khana Hai Arzoo Ka
Gya Hai Taqleed Ka Zamana, Majaz Rakht-e-Safar UthayeHuwi Haqiqat Hi Jab Namayan To Kis Ko Yara Hai Guftugoo Ka
Yun To Ae Bazm-e-Jahan! Dilkash The Hangame TereEk Zara Afsudagi Tere Tamashaon Mein Thi
Husn Ki Taseer Par Ghalib Na Aa Sakta Tha IlmItni Nadani Jahan Ke Sare Danaon Mein Thi
Zamana Aya Hai Behijabi Ka, Aam Didar-e-Yar Ho GaSakoot Tha Parda Dar Jis Ka, Woh Raaz Ab Ashkar Ho Ga
Guzar Gya Ab Woh Dor Saqi Ke Chup Ke Peete The Peene WaleBane Ga Sara Jahan Maikhana, Har Koi Bada Khwar Ho Ga
Nahin Hai Ghair Az Namood Kuch Bhi Jo Maddaa Teri Zindagi KaTu Ek Nafas Mein Jahan Se Mitna Tujhe Misl-e-Sharaar Ho Ga
Hai Ziaratgah-E-Muslim Go Jahan Abad BhiIss Karamat Ka Magar Haqdar Hai Baghdad Bhi
Jab Talak Baqi Hai Tu Dunya Mein, Baqi Hum Bhi HainSubah Hai Tou Iss Chaman Mein Gohar-E-Shabnam Bhi Hain
Sukoon Muhal Hai Qudrat Ke Kaarkhane MeinSabat Aik Taghiyur Ko Hai Zamane Mein
Hai Khawab Sabat-e-AshnayiAaeen Jahan Ka Hai Judai
Khak Bazi Wussat-e-Dunya Ka Hai Manzar IsseDastan Nakami-e-Insan Ki Hai Azbar Isse
Kya Yehi Hai Un Shehenshahon Ki Azmat Ka Ma’alJin Ki Tadbeer-e-Jahan Bani Se Darta Tha Zawal
Roab-e-Faghfoori Ho Dunya Mein Ke Shan-e-QaisariTal Nahin Sakti Ghaneem-e-Mout Ki Yorish Kabhi
Sourish-e-Bazm-e-Tarab Kya, Uood Ki Taqdeer KyaDard Mandan-e-Jahan Ka Nala-e-Shabgeer Kya
Dil-e-Betab Ja Pohancha Diyar-e-Peer-e-Sanjar MeinMuyassar Hai Jahan Darman-e-Dard-e-Nashakeebai