Na Tukhm-e-‘La Ilaha’ Teri Zameen-e-Shor Se PhootaZamane Bhar Mein Ruswa Hai Teri Fitrat Ki Nazayi
Jooye Seemab Rawan Phat Kar Preshan Ho GyiMuztarib Boondon Ki Ek Dunya Namayan Ho Gyi
Cheen-o-Arab Humara, Hindustan HumaraMuslim Hain Hum, Watan Hai Sara Jahan Humara
Dunya Ke Butkadon Mein Pehla Woh Ghar Khuda KaHum Uss Ke Pasban Hain, Woh Pasban Humara
Nazzara-e-Dairina Zamane Ko Dikha DeAe Mustafavi Khak Mein Iss Butt Ko Mila De!
Aqwam-e-Jahan Mein Hai Raqabat To Issi SeTaskheer Hai Maqsood-e-Tajarat To Issi Se
Sune Ga Iqbal Kon In Ko, Ye Anjuman Hi Badal Gyi HaiNaye Zamane Mein App Hum Ko Purani Batain Suna Rahe Hain!
Hum Se Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka ManzarKahin Masjood The Pathar, Kahin Maabood Shajar
Issi Maamoore Mein Aabad The Yoonani BhiIssi Dunya Mein Yahudi Bhi The, Nusraani Bhi
Shan Ankhon Mein Na Jachti Thi Jahan Daron KiKalima Parhte The Hum Chaon Mein Talwaron Ki
Qaum Apni Jo Zar-o-Maal-e-Jahan Par Marti,But Faroshi Ke Iwaz But Shikni Kyon Karti?
Kis Ki Shamsheer Jahangeer, Jahandar HuwiKis Ki Takbeer Se Dunya Teri Baidar Huwi
Vo Door Rehne Wale Hungama’ay Jahan SeKehta Hai Jin Ko Insan Apni Zuban Mein 'Taray'
Ahl-e-Dunya Yahan Jo Ate HainApne Angaar Saath Late Hain
Aur Logon Ki Tarah Tu Bhi Chupa Sakta HaiParda-e-Khidmat-e-Deen Mein Hawas-e-Jah Ka Raaz
Iss Dais Mein Huwe Hain Hazaron Malak SarashtMashoor Jin Ke Dam Se Hai Dunya Mein Naam-e-Hind
Ejaz Uss Charagh-e-Hadayat Ka Hai YehiRoshan Tar Az Sehar Hai Zamane Mein Sham-e-Hind
Tasleem Ki Khugar Hai Jo Cheez Hai Dunya MeinInsan Ki Har Quwwat Sargaram-e-Taqaza Hai
Tamaddun Afreen, Khallaq-e-Aaeen-e-JahandariWoh Sehra-e-Arab Yani Shutar-Banon Ka Gehwara
Gharz Main Kya Kahun Tujh Se Ke Woh Sehra Nasheen Kya TheJahangeer-o-Jahan Dar-o-Jahan Baan-o-Jahan Aara
Hukumat Ka To Kya Rona Ke Woh Ek Aarzi Shay ThiNahin Dunya Ke Aaeen-e-Musallam Se Koi Chara
Auj-e-Gurdoon Se Zara Dunya Ki Basti Dekh LeApni Riffat Se Humare Ghar Ki Pasti Dekh Le!
Aaj Hain Khamosh Woh Dasht-e-Junoon Parwar JahanRaqs Mein Laila Rahi, Laila Ke Diwane Rahe
Giran Jo Mujh Pe Hangama-e-Zamana HuwaJahan Se Bandh Ke Rakht-e-Safar Rawana Huwa
Sikhayi Tujh Ko Malaeek Ne Riffat-e-ParwazBut since, taught by these Seraphim to mount so high,
Humare Waste Kya Tohfa Le Ke Tu Aya?And like a scent comes here from the orchards of the earth—
Dast-e-Junoon Ko Apne Barha Jaib Ki TarafMashoor Tu Jahan Mein Hai Diwana-e-Hijaz
Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete HainDhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!
Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum HoNahin Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho
Jahan Mein Khawajah Prasti Hai Bande Ka KamalRazaye Khawajah Talab Kun Qabaye Rangeen-Posh
Kya Janiye, Tu Kitne Jahan Dekh Chuki HaiJo Ban Ke Mite, Un Ke Nishan Dekh Chuki Hai
Ae Taro Na Pucho Chamanistan-e-Jahan KiGulshan Nahin, Ek Basti Hai Woh Aah-o-Faghan Ki
Magar Ye Raaz Akhir Khul Gya Sare Zamane ParHamiyyat Naam Ha Jis Ka, Gyi Taimoor Ke Ghar Se
Le Aya Apne Sath Woh Mard-e-Wafa SarishtHar Cheez, Jis Se Chashm-e-Jahan Mein Ho Aetibar
Daftar-e-Hasti Mein Thi Zareen Waraq Teri HayatThi Sarapa Deen-o-Dunya Ka Sabaq Teri Hayat
Aah! Ye Dunya, Ye Matam Khana-e-Barna-o-PeerAdmi Hai Kis Tilism-e-Dosh-o-Farda Mein Aseer!
Mazaj-e-Ahl-e-Alam Mein Taghiyur Aa Gya AesaKe Rukhsat Ho Gyi Dunya Se Kaifiat Woh Seemabi
Sada Turbat Se Ati “Shikwa-e-Ahl-e-Jahan Kam GouNawa Ra Talakh Tar Mee Zan Chu Zauq-e-Naghma Kmyabi