Mere Sukhan Se Dilon Hain Khaitian Sar SabzJahan Mein Hun Main Missal-e-Sihaab Darya Pash
Aatish-e-Namrood Hai Ab Tak Jahan Mein Shaola RaizHo Gya Ankhon Se Pinhan Kyun Tera Souz-e-Kuhan
Shaola-E-Namrood Hai Roshan Zamane Mein To Kya“Shama Khud Ra Mee Gudazd Darmian-e-Anjuman
Dunya Ke Uss Shahenshah-o-Anjum Sipah KoHairat Se Dekhta Falak-e-Neel Faam Tha
Murshid Ki Ye Taleem Thi Ae Muslim-e-Shourida SarLazim Hai Rahru Ke Liye Dunya Mein Saman-e-Safar
Badly Zamane Ki Hawa, Aesa Taghiyur Aa GyaThe Jo Garan Qeemat Kabhi, Ab Hain Mataa-e-Kas Makhar
Kali Roz-e-Nafas Se Bhi Wahan Gul Ho Nahin SaktiJahan Har Shay Ho Mehroom-e-Taqazaye Khud Afzai
Aya Hai Magar Iss Se Aqeedaton Mein TazalzalDunya To Mili, Taeer-e-Deen Kar Gya Parwaz
Agar Manzoor Ho Tujh Ko Khazan Na-Ashna RehnaJahan-e-Rang-o-Bu Se, Pehle Qataa-e-Arzu Kar Le
Teri Khak Mein Hai Agar Sharar To Khiyal-e-Faqr-o-Ghana Na KarKe Jahan Mein Naan-e-Shaeer Par Hai Madar-e-Quwwat-e-Haidari
Na Sataiza-Gah-e-Jahan Nayi Na Hareef-e-Panja Faggan NayeWohi Fitrat-e-Asadullahi, Wohi Marhabi, Wohi Aantari
Sahil-E-Darya Pe Main Ek Raat Tha Mehv-E-NazarGosha-E-Dil Mein Chupaye Ek Jahan-E-Iztaraab
Dekhta Kya Hun Ke Woh Paik-E-Jahan Peyma KhizarJis Ki Peeri Mein Hai Manind-E-Sahar Rang-E-Shabab
Ae Teri Chashme-E-Jahan Been Par Woh Toofan AshkarJin Ke Hangame Abhi Darya Mein Sote Hain Khamosh
Woh Sakoot-E-Sham-E-Sehra Mein Gharoob-E-AftabJis Se Roshan Tar Huwi Chashm-E-Jahan Been-E-Khalil (A.S.)
Apni Dunya Ap Paida Kar Agar Zindon Mein HaiSirr-E-Adam Hai, Zameer-E-Kun Fikan Hai Zindagi
Jahan Baani Se Hai Dushwar Tar Kar-E-Jahan BeeniJigar Khoon Ho To Chashm-E-Dil Mein Hoti Hai Nazar Paida
Hina Band-E-Uroos-E-Lala Hai Khoon-E-Jigar TeraTeri Nisbat Baraheemi Hai, Mamaar-E-Jahan Tu Hai
Teri Fitrat Ameen Hai Mumkanat-E-Zindagani KiJahan Ke Johar-E-Muzmar Ka Goya Imtihan Tu Hai
Jahan-E-Aab-O-Gil Se Alam-E-Javed Ki KhatirNabuwat Sath Jis Ko Le Gyi Woh Armgahan Tu Hai
Sabaq Phir Parh Sadaqat Ka, Adalat Ka, Shujaat KaLiya Jaye Ga Tujh Se Kaam Dunya Ki Imamat Ka
Yehi Maqsood-E-Fitrat Hai, Yehi Ramz-E-MuslamaniAkhuwat Ki Jahangeeri, Mohabat Ki Farawani
Ah, Dunya Dil Samajhti Hai Jise, Woh Dil NahinPehlu-e-Insan Mein Ek Hangama-e-Khamosh Hai
Pehle Khud-Dar To Manind-e-Sikandar Ho LePhir Jahan Mein Hawas-e-Shoukat-e-Darayi Kar
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan MiliMere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein
Badla Zamana Aesa Ke Larka Pas Az SabaqKehta Hai Master Se Ke “Bill Paish Kijiye!”
Hathon Se Apne Daman-e-Duya Nikal GyaRukhsat Huwa Dilon Se Khiyal-e-Ma’ad Bhi
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein HaiSanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah
Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-PewandButan-e-Weham-o-Guman, La Ilaha Illallah
Issi Quran Mein Hai Ab Tark-e-Jahan Ki TaleemJis Ne Momin Ko Banaya Meh-o-Parveen Ka Ameer
Dunya Ki Asha Ho Jis Se IshraaqMomin Ki Azan Nidaye Afaq
Shaid Ke Zameen Hai Ye Kisi Aur Jahan KiTu Jis Ko Samajhta Hai Falak Apne Jahan Ka!
Agarcha Zar Bhi Jahan Mein Hai Qazi-Ul-HajatJo Faqar Se Hai Mayassar, Toungari Se Nahin
Agar Jahan Mein Jouhar Aashkara HuwaQalandari Se Huwa Hai, Toungari Se Nahin
Na-Ahl Ko Hasil Hai Kabhi Quwwat-o-JabrootHai Khwar Zamane Meinkabhi Johar-e-Zati
Zinda Quwwat Thi Jahan Mein Yehi Touheed KabhiAaj Kya Hai, Faqat Ek Masla-e-Ilm-e-Kalaam
Zamana Aik, Hayat Aik, Kainat Bhi AikDaleel-e-Kam-Nazari, Qissa-e-Jadeed-o-Qadeem
Fatwa Hai Sheikh Ka Ye Zamana Qalam Ka HaiDunya Mein Ab Rahi Nahin Talwar Kargar
Taleem Uss Ko Chahye Tark-e-Jahad KiDunya Ko Jis Ke Panja-e-Khoonain Se Ho Khatar
Iskandar-o-Changaiz Ke Hathon Se Jahan MeinSou Bar Huwi Hazrat-e-Insan Ki Qaba Chaak