Ye Jabr-e-Qehr Nahin, Ye Ishq-o-Masti HaiKe Jabr-o-Qehr Se Mumkin Nahin Jahan Baani
Teri Nigah Mein Hai Maujazat Ki DunyaMerinigah Mein Hai Hadsaat Ki Dunya
Takhiyulat Ki Dunya Ghareeb Hai, LekinGhareeb Tar Hai Hayat-o-Mumat Ki Dunya
Ajab Nahin Ke Badal De Isse Nigah TeriBula Rahi Hai Tujhe Mumkinat Ki Dunya
Nazar Aye Ga Issi Ko Ye Jahan-e-Dosh-o-FardaWho has the luck to be endowed with my glance so pert and fast!
Badal Ke Bhais Phir Ate Hain Har Zamane MeinAgarche Peer Hai Adam, Jawan Hai Laat-e-Manaat
Kehta Hai Zamane Se Ye Darvesh-e-Jawan MardJata Hai Jidhar Banda-e-Haq, Tu Bhi Udhar Ja!
Zamana Le Ke Jise Aftab Karta HaiUnhi Ki Khak Mein Poshida Hai Woh Chingari
Dunya Ko Hai Uss Mahdi-e-Barhaq Ki ZarooratHo Jis Ki Nigah Zalzala-e-Alam-e-Afkar
Tulu Hai Sift-e-Aftab Iss Ka GhuroorYagana Aur Misal-e-Zamana Goo-Na-Goon!
Hai Wohi Tere Zamane Ka Imam-e-BarhaqJo Tujhe Hazir-o-Mojood Se Bezar Kare
Issi Se Puch Ke Paish-e-Nigah Hai Jo KuchJahan Hai Ya Ke Faqt Rang-o-Boo Ki Tughyani
Aik Zamane Se Hai Chaak Gireban MeraTu Hai Abhi Hosh Mein, Mere Junoon Ka Qasoor!
Khawar Jahan Mein Kabhi Ho Nahin Sakti Woh QoumIshq Ho Jis Ka Jasoor, Faqr Ho Jis Ka Ghayoor
Jahan Mein Banda-e-Hur Ke Mashidaat Hain KyaTeri Nigah Ghulamana Ho To Kya Kahiye
Zamana Subah-e-Azal Se Raha Hai Mehv-e-SafarMagar Ye Iss Ki Tag-o-Dou Se Ho Saka Na Kuhan
Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke IradeDunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan
Jahan Agarcha Digargoon Hai, Qum Bi-IzinillahWohi Zameen, Wohi Gadroon Hai, Qum Bi-Izinillah
Dhoondne Wala Sitaron Ki Guzrgahon KaApne Afkar Ki Dunya Mein Safar Kar Na Saka
Na-Cheez Jahan-e-Meh-o-Parveen Tere AgayWoh Alam-e-Majboor Hai, Tu Alam-e-Azad
Yei Hai Sirr-e-Kaleemi Har Ek Zamane MeinHawaye Dast-o-Shoaib-o-Shabani-e-Shab-o-Roz
Jahan Khudi Ka Bhi Hai Sahib-e-Faraz-o-NashaibYahan Bhi Maarka Aara Hai Khoob Se Na-Khoob
Pukhta Afkar Kahan Dhoondne Jaye KoiIss Zamane Ki Hawa Rakhti Hai Har Cheez Ko Khaam
Jahan Mein Tu Kisi Diwar Se Na TakrayaKisi Khabar Ke Tu Hai Sang-e-Khara Ya Ke Zujaj
Dunya Hai Rawayat Ke Phandon Mein GriftarKya Madrasa, Kta Madrase Walon Ki Tag-o-Dou!
Kar Sakte The Jo Apne Zamane Ki ImamatWoh Kuhna Damagh Apne Zamane Ke Hain Pairou !
Mayassar Ati Hai Fursat Faqt Ghulamon KoNahin Hai Banda-e-Hur Ke Liye Jahan Mein Faragh
Gharat Gar-e-Deen Hai Ye ZamanaHai Uss Ki Nihad Kafirana
Hai Aab-e-Hayat Issi Jahan MeinShart Iss Ke Liye Hai Tashna Kami
Hai Meri Bisat Kya Jahan MeinBus Aik Faghan-e-Ziar Bami
Ek Sidq-e-Maqal Hai Ke Jis SeMain Chashm-e-Jahan Mein Hun Garami
Teri Dunya Ka Ye SarafeelRakhta Nahin Zauq-e-Ne Nawazi
Bohat Rang Badle, Sipihr-e-Bareen NeKhudaya Ye Dunya Jahan Thi, Wahin Hai
Jahan-e-Taza Ki Afkar-e-Taza Se Hai NamoodKe Sang-o-Khisht Se Hote Nahin Jahan Paida
Wohi Zamane Ki Gardish Pe Ghalib Ata HaiJohar Nafs Se Kare Umar-e-Javidan Paida
Suraj Ne Diya Apni Shuaon Ko Ye PeghamDunya Hai Ajab Cheez, Kabhi Subah Kabhi Sham
Phir Hum Ko Ussi Seena-e-Roshan Mein Chupa LeAe Mehr-e-Jahan Taab! Na Kar Hum Ko Faramosh
Boli Ke Mujhe Rukhsat-e-Tanveer Atta HoJab Tak Na Ho Mashriq Ka Har Ek Zarra Jahan Taab
Muqabala To Zamane Ka Khoob Karta HunAgarche Main Na Sipahi Hun Ne Ameer-e-Junood
Kuch Aur Hi Nazar Ata Hai Karobar-e-JahanNigah-e-Shauq Agar Ho Shareek-e-Beenai