Issi Nigah Se Mehkoom Qoum Ke FarzandHuwe Jahan Mein Sazawar-e-Kaar Farmayi
Rooh Agar Hai Teri Ranj-e-Ghulami Se ZaarTere Hunar Ka Jahan Dair-o-Tawaf-o-Sujood
Tera Zamana, Taseer TeriNadan, Nahin Ye Taseer-e-Aflaak
Na Khudi Hai, Na Jahan-e-Sehar-o-Sham Ke DourZindagaani Ki Hareefana Kashakash Se Nijat
Be-Maujaza Dunya Mein Ubharti Nahin QoumainJo Zarb-e-Kaleemi Nahin Rakhta Woh Hunar Kya!
Khud Buye Cheeneen Jahan Tawan BurdKabalees Bamanand-o-Bu-Al-Bashar Murd!
Dekhe Tu Zamane Ko Agar Apni Nazar SeAflaak Munnawar Hon Tere Noor-e-Sehar Se
Koi Kehta Hai Nahin Hai, Koi Kehta Hai Ke HaiKya Khabar, Hai Ke Nahin Hai Teri Dunya Ka Wujood!
Aesi Koi Dunya Nahin Aflak Ke NeecheBe-Maarka Hath Aye Jahan Takht-e-Jim-o-Kai
Iqbal Ye Hai Khara Tarashi Ka Zamana‘Az Har Che Ba-Aaeena Nama-Yand Ba Parhaiz’
Uss Ka Andaz-e-Nazar Apne Zamane Se JuddaUss Ke Ahwal Se Mehram Nahin Peeran-e-Tareeq
Aur Jab Bang-e-Zan Karti Hai Baidar UsseKarta Hai Khawab Mein Dekhi Huwi Dunya Tameer
Badan Uss Taza Jahan Ka Hai Ussi Ki Kaf-e-KhakRooh Iss Taza Jahan Ki Hai Ussi Ki Takbeer
Tareeq-e-Ahl-e-Dunya Hai Gila Shikwah Zamane KaNahin Hai Zakham Kha Kar Aah Karna Shaan-e-Darveshi
Andesha Huwa Shaukhi-e-Afkaar Pe MajboorFarsooda Tareeqon Se Zamana Huwa Bezar
Ye Ilm-o-Hikmat Ki Muhra-Bazi, Ye Behas-o-Takrar Ki NamaeshNahin Hai Dunya Ko Ab Gawara Purane Afkaar Ki Namaesh
Jahan-e-Maghrib Ke Butkudon Mein Kaleesaon Mein, Madrason MeinHawas Ki Khoon Raiziyan Chupati Hai Aqal-e-Ayyar Ki Namaesh
Dilon Mein Walwala-e-Inqilab Hai PaidaQareeb Aa Gyi Shaid Jahan-e-Peer Ki Mout!
Main Kaar-e-Jahan Se Nahin Aagah, Wa LekinArbab-e-Nazar Se Nahin Poshida Koi Raaz
Shayar Bhi Hain Paida, Ulma Bhi, Hukma BhiKhali Nahin Qoumon Ki Ghulami Ka Zamana
Rawish Qazaye Elahi Ki Hai Ajeeb-o-GhareebKhabar Nahin Ke Zameer-e-Jahan Mein Hai Kya Baat
Meri Khudi Bhi Saza Ki Hai Mustahiq LekinZamana Daar-o-Rasan Ki Talash Mein Hai Abhi
Har Zamane Mein Digargoon Hai Tabiat Iss KiKabhi Shamsheer-e- Muhammad (S.A.W.) Hai, Kabhi Chob-e- Kaleem (A.S.) !
Gharatgari Jahan Mein Hai Aqwam Ki MaashHar Gurg Ko Hai Barah-e-Maasoom Ki Talash!
Farhad Ki Khara Shikni Zinda Hai Ab TakBaqi Nahin Dunya Mein Mulookiat-e-Parviaz !
Kiya Zamane Se Nirala Hai Missulini Ka Jurm!Be-Mehal Bighra Hai Masooman-e-Yourap Ka Mazaj
Aal Seezar Chob-e-Ne Ki Aabyarimein RaheAur Tum Dunya Ke Banjar Bhi Na Choro Be Kharaaj!
Kahan Farishta-e-Tehzeeb Ki Zaroorat HaiNahin Zamana-e-Hazir Ko Iss Mein Dushwari
Jahan-e-Qimaar Nahin, Zan Tunk Labas NahinJahan Haraam Batate Hain Shughal-e-Mai Khwari
Hamesha Moor-o-Magas Par Nigah Hai Un KiJahan Mein Hai Sift-e-Ankuboot Un Ki Kumand
Hazar Kaam Hain Mardan-e-Hur Ko Dunya MeinInhi Ke Zauq-e-Amal Se Hain Ummaton Ke Nazam
Zamana Ab Bhi Nahin Jis Ke Souz Se FarigMein Janta Hun Woh Atish Tere Wujood Mein Hai
Na Mashriq Iss Se Bari Hai, Na Maghrib Iss Se BariJahan Mein Aam Hai Qalb-o-Nazar Ki Ranjoori
Rahe Gat U Hi Jahan Mein Yagana-o-YaktaUtr Gya Jo Tere Dil Mein ‘La Shareeka Lahu’
Woh Ilm Nahin, Zaher Hai Ahrar Ke Haq MeinJis Ilm Ka Hasil Hai Jahan Mein Do Kaf-e-Jo
Jo Alam-e-Ijad Mein Hai Sahib-e-IjadHar Dour Mein Karta Hai Tawaaf Iss Ka Zamana
Mard-e-Be Hosla Karta Hai Zamane Ka GilaBand-e-Hur Ke Liye Nashtar-e-Taqdeer Hai Nosh
Mujh Ko To Ye Dunya Nazar Ati Hai DigargoonMaloom Nahin Dekhti Hai Teri Nazar Kya
Dunya Hai Rawayati, Uqba Hai ManajatiDarbaz Do-Alam Ra, Aeen Ast Shehanshahi !
Dunya Mein Muhasib Hai Tehzeeb-e-Fasoon Gar KaHai Iss Ki Faqeeri Mein Sarmaya-e-Sultani