Ye Butan-e-Asar-e-Hazir Ke Bane Hain Madrasay MeinNa Ada’ay Kafirana, Na Taraash-e-Azrana
nāzuk-mizāj aap qayāmat haiñ 'mīr' jījuuñ shīsha mere muñh na lago maiñ nashe meñ huuñ
ye husn-o-jamāl un kā ye ishq-o-shabāb apnājiine kī tamannā hai marne kā zamānā hai
dil kuuñ hotī hai sajan betābīzulf kuuñ haath lagāyā na karo
barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yārshāmat-zada ne kyā kiyā aisā ḳhilāf-e-zulf
sar uThāo to sahī aañkh milāo to sahīnashsha-e-mai bhī nahīñ niiñd ke maate bhī nahīñ
tire kūcha-e-zulf meñ dil hai mirā ab use maiñ samajhtā huuñ dām-e-balāye ajiib sitam hai ajiib jafā ki yahāñ na rahe to kahīñ na rahe
naqsh ko us ke musavvir par bhī kyā kyā naaz haiñkhīñchtā hai jis qadar utnā hī khiñchtā jaa.e hai
Kise Khabar Hai Ke Hangama’ay Nishor Hai KyaTeri Nigah Ki Gardish Hai Meri Rasta Khaiz
aañsū to bahut se haiñ āñkhoñ meñ 'jigar' lekinbañdh jaa.e so motī hai rah jaa.e so daanā hai
zindagī hai jis kuuñ daa.im ālam-e-bāqī munīñjalva-gar kab us añge yū ālam-e-fānī huā
matlab na kufr o diiñ se na dair o haram se kaamkartā hai dil tavāf-e-izār o tavāf-e-zulf
mujh se lāġhar tirī āñkhoñ meñ khaTakte to rahetujh se nāzuk mirī nazroñ meñ samāte bhī nahīñ
kyuuñ zulf kā bosa mujhe lene nahīñ detekahte haiñ ki vallāh pareshāñ na kareñge
shab ko kisī ke ḳhvāb meñ aayā na ho kahīñdukhte haiñ aaj us but-e-nāzuk-badan ke paañv
Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se MehroomiJise Zaiba Kahin Azad Bande, Hai Wohi Zaiba
ishq-e-lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñzindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
tirī zulfāñ kī tūlānī kuuñ dekhemujhe lail-e-zamistāñ yaad aave
nāf-e-ġhazāl-e-chīñ hai ki hai nāfa-e-tatārkyūñkar kahūñ ki hai girah-e-zulf nāf-e-zulf
aa gayā ġhash nigāh dekhte hīmudda.ā kab zabān se niklā
ye parī-chehra log kaise haiñġhamza o ishva o adā kyā hai
Bharosa Kar Nahin Sakte Ghulamon Ki Baseerat ParKe Dunya Mein Faqat Mardan-e-Hur Ki Ankh Hai Beena