yaqīñ hai ki ho jaa.e āḳhir ko sachchīmire muñh meñ terī zabāñ aate aate
mujhe yuuñ na ḳhaak meñ tū milā maiñ agarche huuñ tirā naqsh-e-pātire jalve kī hai baqā mire shauq-e-nām-ba-nām se
yaañ ḳhaak kā bistar hai gale meñ kafnī haivaañ haath meñ ā.īna hai gul pairahanī hai
kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se taubahaa.e us zūd-pashīmāñ kā pashemāñ honā
ye rasm barham fanā hai ai dil gunāh hai jumbish nazar bhīrahegī kyā aabrū hamārī jo tū yahāñ be-qarār hogā
kalejā mire muñh ko aa.egā ik dinyūñhī lab par āh-o-fuġhāñ aate aate
ye kitāb-e-dil kī haiñ āyateñ maiñ batā.ūñ kyā jo haiñ nisbateñmire sajda-hā-e-davām ko tire naqsh-hā-e-ḳhirām se
mizhgāñ pe mire laḳht-e-jigar hī nahīñ yaarois taar se vo rishta aqīq-e-yamanī hai
hastī hamārī apnī fanā par dalīl haiyaañ tak miTe ki aap ham apnī qasam hue
Mitta Diya Mere Saqi Ne Alam-E-Mann-o-TuPila Ke Mujh Ko Mai-e-‘La ILLAHA ILLAH HOO’
mire āshiyāñ ke to the chaar tinkechaman uḌ gayā āñdhiyāñ aate aate
tire ishq kī karāmat ye agar nahīñ to kyā haikabhī be-adab na guzrā mire paas se zamāna
ye qissa vo nahīñ tum jis ko qissa-ḳhvāñ se sunomire fasāna-e-ġham ko mirī zabāñ se suno
allāh re terī tundi-e-ḳhū jis ke biim seajzā-e-nāla dil meñ mire rizq-e-ham hue
Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh ZamanaWoh Adab Gah-e-Mohabbat, Woh Nigah Ka Taziyana
ye sunā hai mire liye talvārik mire mehrbān lete haiñ
mire ham-safīr bulbul mirā terā saath hī kyāmaiñ zamīr-e-dasht-o-dariyā tū asīr-e-āshiyāna
ḳhayāl-e-marg kab taskīñ dil-e-āzurda ko baḳhshemire dām-e-tamannā meñ hai ik said-e-zabūñ vo bhī
Mere Hum Safeer Isse Bhi Asar-e-Bahar SamjheInhain Kya Khabar Ke Kya Hai Ye Nawa’ay Ashiqana