Chehron Pe Jo Surkhi Nazar Ati Hai Sar-e-ShaamYa Ghazah Hai Ya Saghir-o-Meena Ki Karamat
nahīñ ki mujh ko qayāmat kā e'tiqād nahīñshab-e-firāq se roz-e-jazā ziyād nahīñ
Khalq-e-Khuda Ki Ghaat Mein Rindon-o-Faqeeh-o-Meer-o-PeerTere Jahan Mein Hai Wohi Gardish-e-Subah-o-Sham Abhi
koī kahe ki shab-e-mah meñ kyā burā.ī haibalā se aaj agar din ko abr o baad nahīñ
Haq Ra Ba-Sujoode, Sanamaan Ra Ba-TawafeBehter Hai Charagh-e-Haram-o-Dair Bujha Do
vo tap-e-ishq-e-tamannā hai ki phir sūrat-e-sham.asho.ala tā-nabz-e-jigar resha-davānī māñge
Qalb-o-Nazar Ki Zindagi Dast Mein Subah Ka SamanChasma'ay Aftab Se Noor Ki Nadiyan Rawan
kaav kāv-e-saḳht-jānī hā.e-tanhā.ī na pūchhsub.h karnā shaam kā laanā hai jū-e-shīr kā
Surkh-o-Kabood Badaliyan Chor (Chodh) Gaya Sihab-e-ShabKoh-e-Idm Ko De Gaya Rand Barang Teelsiyan
gadā samajh ke vo chup thā mirī jo shāmat aa.īuThā aur uTh ke qadam maiñ ne pāsbāñ ke liye
Teri Nazar Mein Hain Tamam Mere Guzishta Roz-o-ShabMujh Ko Khabar Na Thi Ke Hai Ilm-e-Nakheel-e-Be-Rutab
zamāna ahd meñ us ke hai mahv-e-ārā.ishbaneñge aur sitāre ab āsmāñ ke liye
Khudi Ke Saaz Mein Hai Umer-e-Javidan Ka SuraghKhudi Ke Souz Se Roshan Hain Ummaton Ke Charagh
nikohish hai sazā fariyādi-e-be-dād-e-dilbar kīmabādā ḳhanda-e-dandāñ-numā ho sub.h mahshar kī