mohabbat ke bāzār meñ aur kyā haikoī dil dikhā.e agar dekh lenā
hamesha chāhtā hai dil ki mil kar kiije mai-noshīmayassar jām-e-mai-e-jam-jam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
mujh aise rind se rakhte zarūr hī ulfatjanāb-e-shaiḳh agar āshiq-e-ḳhudā hote
barjā hai gar sunūñ na.iiñ nāseh tirī nasīhatmaiñ jām-e-ishq pī kar mastāna ho rahā huuñ
mujhe kal ke vaade pe karte haiñ ruḳhsatkoī va.ada puurā huā chāhtā hai
zer-e-shamshīr-e-sitam 'mīr' taḌapnā kaisāsar bhī taslīm-e-mohabbat meñ hilāyā na gayā
ḳhānmān-e-āshiqāñ dūkān-e-ātish-bāz haisho.ala-rū jab ho ga.e garm-e-tamāshā jal gayā
sitam ho ki ho vada-e-be-hijābīkoī baat sabr-āzmā chāhtā huuñ
jā bhī ai nāseh kahāñ kā suud aur kaisā ziyāñishq ne samjhā diyā hai ishq kā hāsil mujhe
marīzān-e-ulfat kī kyā be-kasī haimasīhā ko bhī chāra-farmā na dekhā
ham apnā ishq chamkā.eñ tum apnā husn chamkāoki hairāñ dekh kar aalam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
mazāq-e-ishq nahīñ sheḳh meñ ye hai afsosye chāshnī bhī jo hotī to kyā se kyā hote
dil chalā hai ishq kā ho jauharīlab tire la.al-e-badaḳhshāñ buujh kar
fuzūñ tar hai kuchh in dinoñ zauq-e-isyāñdar-e-rahmat ab vā huā chāhtā hai
jin jin ko thā ye ishq kā āzār mar ga.eaksar hamāre saath ke bīmār mar ga.e
gar kiyā nāseh ne ham ko qaid achchhā yuuñ sahīye junūn-e-ishq ke andāz chhuT jāveñge kyā
ye jannat mubārak rahe zāhidoñ koki maiñ aap kā sāmnā chāhtā huuñ
phūñk de ai ġhairat-e-soz-e-mohabbat phūñk deab samajhtī haiñ vo nazreñ rahm ke qābil mujhe
safā.ī hai bāġh-e-mohabbat meñ aisīki bād-e-sabā ne bhī tinkā na dekhā
nahīñ ishq meñ is kā to ranj hameñ ki qarār o shakeb zarā na rahāġham-e-ishq to apnā rafīq rahā koī aur balā se rahā na rahā
mohabbat kā nashsha rahe kyuuñ na har-dambharā hai mai-e-ishq se jaam dil kā
tujh ishq meñ jal jal kar sab tan kuuñ kiyā kājalye raushnī afzā hai añkhiyā ko lagātī jā
qalaq gar yahī hai to rāz-e-nihānīkoī din meñ rusvā huā chāhtā hai
ghabrā na 'mīr' ishq meñ us sahal-e-zīst parjab bas chalā na kuchh to mire yaar mar ga.e
hai ab is māmūre meñ qaht-e-ġham-e-ulfat 'asad'ham ne ye maanā ki dillī meñ raheñ khāveñge kyā
zarā sā to dil huuñ magar shoḳh itnāvahī lan-tarānī sunā chāhtā huuñ
ab ishq us maqām pe hai justujū-navardsaaya nahīñ jahāñ koī naqsh-e-qadam nahīñ
chaliye āshiq kā janāza uTThāaap baiThe hue kyā karte haiñ