raqīb o sheva-e-ulfat ḳhudā kī qudrat haivo aur ishq bhalā tum ne e'tibār kiyā
tujh se ulfat nibāhtā huuñ maiñbā-vafā huuñ ki bevafā kuchh huuñ
vahī hai fazl-e-ḳhudā se ab tak taraqqi-e-kār-e-husn o ulfatna vo haiñ mashq-e-sitam meñ qāsir na ḳhūn-e-dil kī yahāñ kamī hai
ai 'valī' jo libās tan pe rakhāāshiqāñ ke nazik libāsī hai
ḳhat aane lage shikva-āmez un kemilāp un se goyā huā chāhtā hai
tū sub.h qadam-ranja kare Tuk to hai varnakis vāste āshiq kī shab-e-ġham basar aave
dhamkī meñ mar gayā jo na bāb-e-nabard thāishq-e-nabard-pesha talabgār-e-mard thā
nigāh-e-ishq o mastī meñ vahī avval vahī āḳhirvahī qur.āñ vahī furqāñ vahī yāsīñ vahī taahā
tanqīd-e-husn maslahat-e-ḳhās-e-ishq haiye jurm gaah gaah kiye jā rahā huuñ maiñ
tirī nigah ke tasavvur meñ ham ne ai qātillagā lagā ke gale se chhurī ko pyaar kiyā
nashsha-e-ishq le uḌā hai mujheab maze meñ uḌā rahā kuchh huuñ
na koī takrīm-e-bāhamī hai na pyaar baaqī hai ab diloñ meñye sirf tahrīr meñ Dear sir hai yā janāb-e-mukarramī hai
maiñ āshiqī meñ tab suuñ afsāna ho rahā huuñterī nigah kā jab suuñ dīvāna ho rahā huuñ
bahut kaam lene the jis dil se ham kovo sarf-e-tamannā huā chāhtā hai
mat dasht-e-mohabbat meñ qadam rakh ki ḳhizar kohar gaam pe is rah meñ safar se hazar aave
jaatī hai koī kashmakash andoh-e-ishq kīdil bhī agar gayā to vahī dil kā dard thā
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñabhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaadab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad
kisī ke ishq-e-nihāñ meñ ye bad-gumānī thīki Darte Darte ḳhudā par bhī āshkār kiyā
mohabbat chāhiye bāham hameñ bhī ho tumheñ bhī hoḳhushī ho is meñ yā ho ġham hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
ye baat to achchhī hai ki ulfat ho misoñ sehuur un ko samajhte haiñ qayāmat hai to ye hai
saudā-e-zulf-e-ḳhūbāñ rakhtā huuñ dil meñ daa.imzanjīr-e-āshiqī kā dīvāna ho rahā huuñ
abhī lene paa.e nahīñ dam jahāñ meñajal kā taqāzā huā chāhtā hai
pās-e-nāmūs-e-mohabbat thā ki farhād ke paasbe-sutūñ sāmne se apne uThāyā na gayā
be-ishq umr kaT nahīñ saktī hai aur yaañtāqat ba-qadr-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
tire ishq kī intihā chāhtā huuñmirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
muddat huī ik hādsa-e-ishq ko lekinab tak hai tire dil ke dhaḌakne kī sadā yaad