na mohabbat ko jānte ho tumna muravvat ko dekhtā huuñ maiñ
'mīr'-jī zard hote jaate hokyā kahīñ tum ne bhī kiyā hai ishq
Ishq Se Paida Nawa’ay Zindagi Mein Zeer-O-BammIshq Se Mitti Ki Tasweer Mein Soz-E-Dam Ba Dam
ham pe nāzil huā sahīfa-e-ishqsāhibān-e-kitāb haiñ ham log
nahīñ haiñ jurm-e-mohabbat meñ sab ke sab mulzimḳhatā muaaf ḳhatā-vār dekhte jaao
ye bhī hai adā koī ḳhurshīd namat pyāremuñh sub.h dikhā jaanā phir shaam chhupā jaanā
sham.a bujhtī hai to us meñ se dhuāñ uThtā haisho.ala-e-ishq siyah-posh huā mere ba.ad
Admi Ke Raishe Raishe Mein Sama Jata Hai IshqShakh-E-Gul Mein Jis Tarah Bad-E-Sahar Gahi Ka Namm
zid par ishq agar aa jaa.epaanī chhiḌke aag lagā.e
banā diyā mirī chāhat ne ġhairat-e-yūsuftum apnī garmī-e-bāzār dekhte jaao
ye naqsh diloñ par se jaane kā nahīñ us koāshiq ke huqūq aa kar nāhaq bhī miTā jaanā
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishqhai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere ba.ad
Ishq-e-Butan Se Hath Utha, Apni Khudi Mein Doob JaNaqsh-o-Nigar-e-Dair Mein Khoon-e-Jigar Na Kar Talaf
zabt-e-mohabbat shart-e-mohabbatjī hai ki zālim umDā aa.e
haath ham se milāo ai muusāāshiq-e-rū-e-yār ham bhī haiñ
nahīñ aate kaso kī āñkhoñ meñho ke āshiq bahut haqīr hue
aa.e hai bekasī-e-ishq pe ronā 'ġhālib'kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad
Khol Ke Kya Bayan Karun Sirr-e-Maqam-e-Marg-o-IshqIshq Hai Marg-e-Ba-Sharaf, Marg Hayat-e-Be-Sharaf
sitam ishq meñ aap āsāñ na samjheñtaḌap jā.iyegā jo taḌpā.iyegā
tum agar apnī guuñ ke ho ma.ashūqapne matlab ke yaar ham bhī haiñ
rāh-e-dūr-e-ishq meñ rotā hai kyāaage aage dekhiye hotā hai kyā
ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahīmerī vahshat tirī shohrat hī sahī
Nakhcheer-E-Mohabbat Ka Qissa Nahin ToolaniLutf-E-Khalish-E-Paikan, Asoodgi-E-Fatraak
kahīñ chup rahī hai zabān-e-mohabbatna farmā.iyegā to farmā.iyegā